Friday 23 November 2018

DA'WAT E DEEN Millat Ke Ek Aham Mas'ale Keliye NUSKHA E SHIFA

DA'WAT E DEEN Millat Ke Ek Aham Mas'ale Keliye NUSKHA E SHIFA

(Zaroor Poora Padhe)

Aaj puri duniya k halaat par gaur kiya jaye to pure Aalam me Ummat e Muslima ko ek mas'ala dar paish hai, aur puri ummat is mas'ale se joojh rahi hai, aur mukhtalif Tariqon se is mas'ale k hal keliye koshishein ki ja rahi hain....Magar isi Qadar ye mas'ala aur Ulajhta ja raha hai....

Mas'ala Ye Hai Ke Aysa Lagta Hai Ke Poori Duniya Musalmano Ki Dushman Ho Gayi Hai.

Yahoodi aur Isaai, in dono Mazahib k maan'ne walon k BUNYADI AQAID me Aakhri darje ki mukhalifat payi jati hai, wo dono Musalmano ki mukhalifat me Muttafiq ho gaye hain.

Iske alawa doosri sab Qaumein bhi Musalmano ki Dushmani k Nukte(point) par Muttahid aur Aik Jutt ho gayi hain, aur is dushmani ko door karne keliye jitni Tadbeerein aur Koshishein ki ja rahi hai, Dushmani badhti ja rahi hai, Iski Asal Wajah ye hai k HAAMIL E QUR'AN UMMAT Ne Apne Masaail ka HAL aur ILAAJ Haqeeqi Doctor aur Haqeeqi KaarSaaz ki Kitab QUR'AN E MAJID k ilawa doosre zaraye(Raaston) se Hal karne ki koshish ki hai, Jiski wajah se Haal ye hai ke:

MARZ BARHTA GAYA JO JO DAWA KI

Fa'aa Lul Lima Yureed Aur Alaa Kulli Shai-in Qadeer Haqiqi Doctor ki Kitab Quran Majid ki Surah HA-MIM SAJDAH(41) me is Dushmani ko Dosti me Badalne ka Ek Murakkab Nuskha e Akseer bataya gaya hai.

ALLAH TA'ALA KA IRSHAD HAI:

ﻭﻣﻦ ﺃﺣﺴﻦ ﻗﻮﻻ ﻣﻤﻦ ﺩﻋﺎ ﺇﻟﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻋﻤﻞ ﺻﺎﻟﺤﺎ ﻭﻗﺎﻝ ﺇﻧﻨﻲ ﻣﻦ ﺍﻟﻤﺴﻠﻤﻴﻦ
ﻭﻻ ﺗﺴﺘﻮﻱ ﺍﻟﺤﺴﻨﺔ ﻭﻻ ﺍﻟﺴﻴﺌﺔ ﺍﺩﻓﻊ ﺑﺎﻟﺘﻲ ﻫﻲ ﺃﺣﺴﻦ ﻓﺈﺫﺍ ﺍﻟﺬﻱ ﺑﻴﻨﻚ ﻭﺑﻴﻨﻪ ﻋﺪﺍﻭﺓ ﻛﺄﻧﻪ ﻭﻟﻲ ﺣﻤﻴﻢ
ﻭﻣﺎ ﻳﻠﻘﺎﻫﺎ ﺇﻻ ﺍﻟﺬﻳﻦ ﺻﺒﺮﻭﺍ ﻭﻣﺎ ﻳﻠﻘﺎﻫﺎ ﺇﻻ ﺫﻭ ﺣﻆّ ﻋﻈﻴﻢ
ﻭﺇﻣﺎ ﻳﻨﺰﻏﻨﻚ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﻧﺰﻍ ﻓﺎﺳﺘﻌﺬ ﺑﺎﻟﻠﻪ ﺇﻧﻪ ﻫﻮ ﺍﻟﺴﻤﻴﻊ ﺍﻟﻌﻠﻴﻢ

Aur is se Ziyada Achchi Baat wala kon hai jo ALLAH ki Taraf Bulaye aur Nek kaam kare aur Kahe ke Mai Yaqinan Musalmano me se hun, Neki aur Badi Barabar nahi hoti, Burai ko Bhalai se Dafa karo, Phir Wahi Jiske aur Tumhare darmiyan Dushmani hai Aysa ho jayega Jaise Dilee Dost, Aur Ye Baat inhi ko Naseeb hoti hai Jo Sabr kare Aur Is Se Siwaye Bade Naseeb walon ke Koi Nahi Pa Sakta, Aur Agar Shaitan ki Taraf se Koi WasWasa aaye to ALLAH ki Panah Talab karo, Yaqeenan Wo Bahot hi Sunne Wala Jaan'ne Wala hai.

[ http://Quran.com/41/33-36 ]

Quran ke Is Nuskhe ka Pehla Juzu E Aazam me yun Irshad Hota Hai:

★"Waman Ahsanu Qoulam Mim Man DA'AA ILALALLAH"

Is se Behtar Aur Achchi wa Ahsan kiski Baat Ho Saki Hai Jo ALLAH ki Taraf Bulaye....

Apne MASLAK Ki Taraf, Apne MASHRAB Ki Taraf, Apni TANZEEM, Apni FIKAR, Apne NAZARIYE, Apne SHAIKH Ki Taraf Naheee...... Balke Iski Da'awat ALLAH ke Bando ko ALLAH Se Jodne ki Ho.....
Doosre Juzye k taur par irsha hai:

★"Wa'amalu Swaleha"

Yani jis Baat ki Taraf Doosron ko Bulaye KHUD iska AMAL iski Gawahi deta ho, ke Wo Bhi Is ALLAH Se Juda huwa Aur Iski Marzi ke Mutabiq Zindagi Guzaar Raha Hai........ Teesre Juzye taur par irshad hai:

★"Wa Quala In'nani Minal Muslimeen"

Yani Is Aik ALLAH keliye Jeene aur Iske Muqable me Har Kisi ki Farman Bardari se Bara'at BaBaang Dahal (Do Touk Bezari ka Aelan kar ke) Iske Farman Bardaar hone ka Aelan kare......... Phir Irshad Hai:

★"Wala Tas'Tawil Hasanatuw-Walas-Sayyi'a"

Neki Aur Burai Barabar Nahi Ho Sakti

★"Idfa Billati Hiya Ahsan"

Burai ko Burai se Saaf Nahi Kiya Ja Sakta, NaPaki NaPaki se Nahi Dhoyi Ja Sakti, Andhere ko Andhere Se Nahi door kiya Ja Sakta..... Burai ko Bhalai se door kiya Ja Sakta Hai, NaPaki ko Paaki se door kiya Ja Sakta Hai, Andhera Roshni se khatam Ho Sakta Hai,.....

Jab Hamare khilaf Log Dushmani me Saf A'ara ho jaye, Jab Sab Log Hamari Mukhalifat par Aamadah Ho Jaye Aur Har Taraf se Hamare khilaf Log Zulm par Ikhatte Ho Jayen,.......

To Tum Is Burai ko Ahsaan se Dafa karo, Aur Dushmano Aur Mukhalifo ki Hamdardi Aur Dard'Mandi ke Sath Inki Khair'Khuwahi se Inko DA'WAT DO,.....

Phir Nuskhe ki Ta'seer aur Iska Natija Ye Bataya Gaya Hai:

★"Faizallazi Bainaka Wa Bainahu Adawatun Ka' annahu Waliyyun Hameem"

To Wo Log Aur Afrad Jin ke Dil Me Tumhari Dushmani aur Ghaiz o Ghazab (Gussa) bhara huwa Hai WO TUMHARE JIGREE DOST WALI HAMEEM Ban Jayenge,...... Aage irshad Hai:

★"Wama Yulaq'Qaha Illallazina Sabaru Wama Yulaq'Qaha Illaa Zu Hazzin Azeem"

Is Nuskha E Shifa ka Fayeda (Benefit) Aur Istemal (Use) Wahi Log Kar Sakte Hain Jo Sabr karne wale hain Aur is Nuskha E Akseer Ka Fayeda Wahi Log Utha Sakte Hain Jo Iske Mazey Se Aashna Ho Gaye Ho, Qur'an Majid me Sabse Zyada Emaan k baad SABR ki Talqeen ki Gayi hai, SABR ke Meaning ARABIC me Apni UMEED, Apne MIZAAJ Aur MAFAAD Ke Khilaf Koi Baat Dekh Kar Mushta'al Na Hone Aur Is Khair Par Jame Rehne aur Datte Rehne ke Hain.

★"Wa Imma Yanzagan-Naka Minash-Shaitani Nazgun Fas Ta'iz Billahi, Innahu Huwas-Samee'Ul Aleem"

Is Nuskha E Akseer Se Mehroom karne Keliye aur Hame Is Dushmani ke Mas'ale se Dochaar Rakhne keliye Hamara Sabse Bada Dushman Uksayega, ke Ye BuzDiLi hai, Eint Ka Jawab Patthar se dena chahiye, Hum kisi kam Nahi.... To Tum Is Dushman se Bachne Keliye Sunne Aur Jaanne Wale ALLAH Se Panah Talab Kar Liya Karo.

Jab Duniya Hamari Dushman Ho Jaye, Jab Log Hame Safa e Hasti se Mitane Aur Darpiye Aazaar (Ghulam) krne par Mujtama Ho Jaye, Jab Log Hame Shirk Ki Da'awat de Aur HAQ Se Hatane ki koshish kare Aur Hamari Dushmani me Aedi Choti ka Zor Laga De Aur Apni Saari Salahiyatein Aur Taqatein Hamare Khilaf Sarf karde, .....To bhi Tum Insaniyat ki Khair Khwahi Ka Mansab, Apne Ko Doctor Aur Doosre Logon ko Mareez, Apne Ko Muallim (Teacher) Aur Saari Duniya ko Muta'allim (Student) Samajh kar, Bhatki Huwi Insaniyat ko Iske RAB Se Jodne Aur Isko Kufr o Shirk Ki Houlnakiyon Aur Dozakh ke Raaste se Bachane ki Fikar Aur Isko Jannat Ke Raaste Par Chalane ki Fikar Karte Raho, .....ALLAH TA'ALA DILO KI DUSHMANI KO DOSTI ME TABDEEL FARMA DEGE, Phir Yahi Islam Ke Dushman Islam Ke Haamil Ban Jayenge...

Poori Insani Tareekh Gawah Hai Ke Jab Bhi Haqeeqi Doctor Ki Kitab Ke Is NUSKHA E AKSEER ko Lekar Khair Khwahi Ke Sath DA'WAT, kisi Musalman Ne Aakhri Darje Ke Dushmanaan e Islam par Paish ki, ....To Mareez Ke Halaq Aur Qalb o Dimagh me Dawa ka Asar Pahonchte hi DUSHMANI ke MARZ se SHIFAYABI Naseeb Hoti Hai...

★ Misal k Taur Par Gaur Farmaye....

●------ Umar Bin Khattab kon Hain...Jab DA'WAT ILALLAH Ki Aik Khuraak Rakhi Dawa DIL O DIMAGH Me Utri ke Mareez Shifayab Ho Kar Daar E Arqam tak Pahonchte Pahonchte Umar Bin Khattab Ameerul Momineen (FAROOQ E AZAM) Banta Huwa Nazar Aaya Aur Zabane Risalat Se"Lou Kaana Ba'adi Nabi Lakana UMAR"(Agar Mere Baad Koi Nabi Ho Sakta To UMAR Hote)

●------ Khalid Bin Waleed kon Hain...Jab DA'WAT ILALLAH Ki Aik Khuraak Rakhi, Aur DIL O DIMAGH Tak Utri To"SAIF MIN SIFULLAH"NABI (SAW) Se LaQab Paane Wale Bane , Yani ALLAH Ki Talwaro Mese Ek Talwar, Sahabi E Rasool, Aur Aashiq E Rasool Ban Gaye.

●------ Wo Wahshi Kon Hain...., Nabi (SAW) Ke LaadLe ChaCha Ke Sifaak Qatil....Aur Inki Lash ka Masla karnewali HINDA KON THI...., Nabi (SAW) Ke Piyare ChaCha Syyedush Shuhada AMEER E HAMZA ke Kaleje ko Nikal kar Kachcha Chabane Wali.

●------ Wo Duniya k Sabse Bade Firoun Abu Jahal ke Bete Ikrama Kon The...., Jinki Gutthi me Islam Aur Paighambar E Islam Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dushmani Bhari Huwi Thi.....

In Mese Har Ek, Aur Doosre Dushmanaan E Islam Mese Har Aik Ka Ye Haal Tha Ke Dil o Dimag Tak DA'WAT ILALLAH ki Aik Khuraak Inko Pahonchi, Aur Inko Dushmanan E Islam ke Awwal Saf Ke Marizon se Nikal Kar Sahabi E Rasool, Islam Aur Da'wat e Islam ke Alam Bardaron Balke Sardaron Ki Saf e Awwal me La Khada Kar Diya,..... Aur Inko DA'EE ILALLAH, Na Jaane Aise kitne Marizon ka Doctor, Aur Islam Aur Paighambar E Islam Ka Jaa-Nisaar Bana Diya,..

Dushmani Ko Dosti Me Badalne Ki Ye Ta'seer 1400 Saal Se Aaaj Tak DA'WAT ILALLAH Ke Is NUSKHA E AKSEER Me Apne Aakhri Darje Ki ASAR E AAFRINI Ke Saath Moujood Hai,

MAGAR AFSOS...! Ke Hum Musalman Jinko Qur'an Majid Jaisi Mujarrab Tareen Haqeeqi Doctor ki Kitab Aur Duniya ke Har Marz ki Dawa De kar Doctor Bana Kar Bheja Gaya Tha,.... Is Haqeeqi Kitab ko Chord kar Duniya ki Atkalo me Kho Gaye Aur Khud Duniya ka Ilaaj karne ke Bajaye Mareez e Mahaz Ban Kar Baith Gaye, Aur Duniya Khud Hamare Is Qur'ani ZAUQ ki Doori ki Wajah Se Dar Dar ki Thokare Khaati Rahi,... Baqol e Sha'er:

TANG SI GALIYON ME DUNIYA THOKARE KHAATI RAHI

WUS'ATON KA AASMAAn JUZDAAN ME LIPTA RAHA

★•.•´¯`•.•★★•.•´¯`•.•★★•.•´¯`•.•★محمد نعمان

Thursday 11 October 2018

KYON ISLAM SABSE TEZ PHAILNE WAALA MAZHAB HAI ??

KYON ISLAM SABSE TEZ PHAILNE WAALA MAZHAB HAI ??

Bismillahirrahmanirraheem

KYON ISLAM SABSE TEZ PHAILNE WAALA MAZHAB HAI ??

Is sawaal ka jawab talaash karne se pahle hame duniya ke bade mazhabon ka ek mukhtasar sa jayeza lene ki zarurat hai, uske baad ham aasaani se is sawaal ke jawab tak pahunch paayenge
duniya ke puraano mazhabon mese IRAN ka majoosi mazhab, INDIA ki hindu math, aur NEPAL ka budh math sabse zyada mashoor hai, in teeno mazhabon ke baare me unki paak kitaabon se jo maalumaat haasil hoti hai wah ham aapko serial se pesh kar rahe hain

● MAJOOSI MAZHAB:

Majoosi mazhab ko laane waale ‘ ZURTUSHT’ iraan ke shaher ‘ RAIY ‘ me paida hue,

Baap ka naam ‘ paida shasab ‘ aur maa ka naam ‘ deo dha’ tha.

Unka zamana paidaish 258 BC (kuch logon ke nazdeek 588 BC aur kuch ke nazdeek 600 BC ) tha..

‘ ZURTUST’ ne 30 saal ke umar (age) me ek pahaadi (mountain) par tanhaayi ki zindagi guzaari jahan unhe ek khuda ”AHWAR AMZAD” Ka mukashifa Haasil huwa jiski taraf unhone logon ko daawat deni shuru ki..

10 saal me sirf unka chachera bhai (cousine) unka ham’khyaal ban saka, logon se be’aabru hokar zurtust balkh ke baadshah ” gustashab” ke paas gaye, darbaari ulema se munaazara huwa,
baadshah ne uski baaton ko sahi maankar , zurtust ki daawat qubool kar li, jiske baad zurtust ka mazhab iraan me tezi se phailne laga, 77 saal ki umar me ek tooraani sipaahi ne khanjar maarkar zurtusht ka qatl kar diya

yah hai wah tashreef jo hamen zurtust ke halaat ke baare me milta hai, aur is tashrih me bhi ikhtelaaf hai ki kuch researchers ne zurtusht ke wajood(presence) tak se inkaan kar diya hai….

Majoosi dharm ki paak kitaab ” OSTA” hai jo 72 gaathon (songs) par based hai, aur yahi 72 gaatha majoosi dharm ki taaleem hain..

“Osta ” me di gayi taaleem zurtust ki hain ya unka musannaf (writer) koi aur hai, is baare me bhi research karne waalon me Shakht iktelaaf(dispute) paaya jaata hai, kaha jaata hai ki zurtusht ki maut ke 250 saal baad ”

SIKANDAR(ALEXANDER)” ne iran par hamla kiya to saari libraries jala daali, jinme majoosi mazhab ki kitaaben bhi shamil thi.. Majoosi ulema apne jaan bachaane ke liye gufaaon (caves) me ja chupe jab unhen aman nazar aaya tab unhone apne zaheni soch se ” OSTA” likhi…

● HINDU MAT (HINDUISM):

hindu mat is aitbaar se bada anokha mazhab hai ki iske baare me aaj tak kisi ko yah malum nahi ho saka ki iska sabse pahle laane waala kaun tha?

Iska laane waala nabi tha ya ghair nabi ?
Iska zamaana kaun sa tha ?

Is mazhab ki asal aur buniyaadi kitab kaun si hai ?

Hindu mazhab ki kitab ka naam ” VED” hai jo 4 hisson par based hai..

1- rigved
2- yajurved
3- samved
4- atharvaved,

“MAHA BHARAT SHANTI PARV SLOK” ki riwayat ke mutaabik ‘dawasur'( jinnat ka baadshah) ved ko chura kar le gaya…

Aasmaan se 7 rishi (buzurg) naazil hue aur ved ko waapas laakar dobaara jaari kiya,

is riwayat ki wajah se hindu researcher khud ved ko aasmaani kitab nahi samjhte,

vedon ki tahreer ka zamaana 800 Bc, kuch ke nazdeek 1000 bc, kuch ke nazdeek 4000 bc, kuch ke nazdeek 5000 bc aur 10,000 bc hai,

ab ek nazar vedon ki taaleem par bhi nazar daal lijiye

VEDON ME ZAAT-PAAT(CASTEISM) KI TAALEEM:

vedon ki taaleem ke mutaabik BRAHMAN qaum khuda ke muh(mouth) se paida hui, CHATTRI qaum baazuyon se, VAISHYA qaum raano se aur SHUDRA qaum pair(legs) se paida hui…

BRAHMAN duniya ki sabse unchi jaat hai, duniya me jo maal wa daulat hai wah sab BRAHMAN ka hai,

BRAHMAN jis aurat par haath rakhen wah uski ho jaati hai,

BRAHMAN Gunaahon se bilkul paak hai, chaahe teeno lokon ko tabaah wa barbaad kar de,

SHUDRA ,ved sun len toh uske kaano(ears) me sheesha daal do, agar padhen toh zabaan kaat do, agar yaad karen to uska Dil cheer do, agar BRAHMAN ke baraabar baith jaaye to uski kamar(waist) daagh lagaakar chootad(buttocks) kaat kar baher nikaal do,

SHUDRA jis ang(parts of body) se brahman ki khilaaf warzi(insult) kare uska wah ang kaat do…

AURTON KE BAARE ME VEDON KI TAALEEM:

Aurat dhoke baaz hai,

aurat ka dil bhediye(deer) ki tarah hai,

aurat baap ki zaaydaad ki waaris nahi ban sakti, aurat dusra nikah nahi kar sakti,

aurat ko juwen me haarne aur bechne ki ijaazat hai,

jin ladkiyon ke bhai na hon unki shadi nahi ho sakti, ladkiyon ki maujoodagi me ladke paida karne ke liye pati(shauhar) apni patni (wife) ko kisi ghair mard se pregnent karwaane (niyog) ka huqm de sakta hai…

GHAIR HINDUON KE BAARE ME VEDON KI TAALEEM:

hindu mazhab ka jo inkaar kare unhe zinda aag me jala do,

hindu mazhab ke mukhaalif ko darindon se fadwa daalo

hindu mazhab ke dushmanon ke kheton ko ujaado aur unhe bhookha rakh kar Maar daalo

hindu mazhab ke dushmano ko samundra me dubo do, jis tarah billi (cat) chuhe(rat) ko tadpa tadpa kar maarti hai, isi tarah unko tadpa kar maaro..

Dushmano ka jod jod aur band band kaat do, unko pairon tale kuchal do aur un par raham na karo…

VEDON ME SHIRK KI TALEEM:

Devtaaon ki kul tadaad 3340 hain,

kaaynaat ka devta (brahma) hai,

Ishq aur muhabbat ka devta (kaamdev) hai,

dushmano ko barbaad karne waala devta (shiv) hai

aulaad haasil karne ke liye (mardana ling, also known hai shiv ling) hai,

iske elaawa aag, peepal ka ped(tree), haathi , lion, saanp(snake), chooha, suwar, bandar, bail(cow), bhi hinduon ke devta hain,

hinduon ka aqeeda hai ki gaaye (cow) ne zameen wa aasmaan ko uthaaya huwa hai, uska gobar aur peshaab peena gunaaho ki maafi ka zariya hai…

● BUDH MAT (BUDHISM)

Budh mat ke laane waale ‘ GAUTAM BUDH ‘ 568 BC me nepal ki raajdhaani kapil wastu me ek raja ke Yahan paida hue,
baap ka naam ” shadhu dhan” tha, maa ka naam ” maya” tha,

16 saal ki umar me ” jasodhara” aurat se shadi ki jisse ek bacha ” rahul” paida huwa,

gautam budh ki shuruaati 29 saal ki zindagi ek raaz hai, gautam budh bachpan se hi soc vichaar ka aadi tha…

Umar(age) ke 30we saal kuch musibat zada logon ko dekhkar gautam budh itna pareshaan hue ki aabaadiyon ko chhodkar jungalon aur veraanon me ja base aur duniya ki takleefon se nijaat paane ke tareeqon par soch vichaar karne laga,

lagaataar 6 saal tak nafs kashi ki, khaana peena chhod diya, muraaqbe aur mujaahide kiye,

us waqt me gautam budh ka jism sookh kar kaanta ban gaya, lekin logon ki raahat haasil karne ka raaz haath na aa saka, isliye dobara khaana peena shuru kar diya,

ek din gautam budh peepal ke ped ke neeche muraaqba kar rahe they ki unhe achaanak nirwaan(nijaat) ka raaz bata diya gaya, jiske baad gautam budh ko raahat ko Haasil karne ka tareeqa malum ho gaya aur gautam budh ne dobara shahron ka rukh kiya,

logon ko raahat haasil karne ke sunehre usool bataaye, aur updesh diye,

gautam budh ki dawat aur updeshon ka waqt 40 saalon tak raha,

lekin hairat ki baat yah hai ki un 40 saalon ka koi khulaasa taareekh me mahfooz nahi..

Zindagi ke aakhiri dino me gautam budh ne apne mureedon (bicchuon) ko kafan dafan ke masail bataaye aur nasihat ki, ki mere marne ke baad mere mission aur taaleem ko aam karna,

gautam budh ka 80 saal ki umar me (488 bc) gorakhpur ke ilaaqe me death ho gayi…

Gautam budh ne apne zindagi me koi likhi hui taaleem nahi chhodi, gautam budh ki maut ke 218 saal baad ” chaumarya” khandaan ka 3rd baadshah ashok (270 bc) bana to usne budh mat qubool kiya jisse budh mat ka bahut developement huwa,
ashok ne apni hukumat me ” bichhuon” ki ek badi bhaari ijtema karwaaya jisme mashoor bicchuon ne budh mat Ki taaleemon ko ” tri petika” ke naam se paali language me taiyyar kiya jo budh mat ki muqaddas kitab qaraar paayi..

Chunki gautam budh ki apni zabaan paali na thi, isliye researchers ne is kitab ko kabhi woh darja nahi diya..

Ab aayye maaroof allah ki taraf se bheje gaye mazhab ki taraf jinme yahudiyat, isaaiyyat aur islam shamil hain..

● YAHUDIYAT (JEWISH):

yahudiat ki aasmaani kitab ” tauraat” aur ” zaboor ” hai, jise ahad nama qadeem (old testament) ya ahad namam ateeq ya meesaaq bani israel kaha jaata hai..

Ahadnama qadeem ke 5 hisse hain:

1-paidaish 2-khuruj 3-ahbar 4-ginti 5-istasna

in 5 ko “asfaar khamsa” bhi kaha jaata hai
ahad nama qadeem ke 4 sahi sources tasleem kiye jaate hain

1-YAHUDI MATAN:- yah matan 9wi sadi (isa se pahle) likha gaya , yani hz moosa as ki maut ke 600 saal baad

2- ISTASNAAI MATAN:- ye matan 8wi sadi (isa se pahle) likha gaya, yani hz moosa as ki maut ke 700 saal baad

3- MURSHIDAANA MATAN:- ye matan 6 sadi (isa se pahle) likha gaya, yani hz moosa as ki maut ke 900 saal baad

4- ULUHOOMI MATAN :- yah matan sabse baad me likha gaya, yani hz moosa as ki maut ke kam se kam 1000 saal ke baad, yaad rahe ki hz moosa (as) aur hz isa (as) ke beech ki muddat 1500 saal hai..

” BIBLE , QUR’AN AUR SCIENCE” ke writer ‘moris beckle’ ki tahqeeq ke mutabik ” 3ri sadi Bc (yani hz moosa as ki maut ke 1200 saal baad) ahad nama qadeem ke ibraani language me 3 alag alag matan maujood they,

pahle sadi Bc (yani hz musa as ki maut ke 1400 saal baad) yah rujhaan paida huwa ki ahadnama qadeem ke liye ek hi matan thahraaye jaaye,

lekin hz isa as ki paidaish se ek sadi baad tak (yani hz musa as ki maut ke 1600 saal baad tak) bhi yah mumkin na ho saka ki kisi ek matan par sab ki razamandi ho sake
(moris beckle page 40)

” bible, qur’an aur science” ke writer, taurat me Heir feir (changes) ke bahut se dalail dene ke baad aakhir me likhte hain:

” ahadnama qadeem ki kitab me insaani haath zyada dikhaayi deta hai, isliye yah samjhna mushkil nahi ki ek edition se dusre edition tak aur ek translation se dusre translation tak jo heir feir hue unki wajah se ahadnama qadeem ka maujood matan pichle hazaara saala puraane matan se poore taur par alag hai”

(page no 30, urdu translation)

hz musa as ke baare me tauraat aur zuboor se hamen jo malumaat haasil hoti hain we zyada se zyada yah hain ki hz musa as ne fir’aun ke ghar parwarish payi, jawan hue to bani israel ke do logon ki madad karne ke baad hukumat ke darr sd madyan bhaag gaye wahi shadi ki aur lambi muddat ke baad wapas palte,

raaste me nubuwwat se nawaze gaye, fir’aun ke darbaar me pahunche, use chamatkar dikhaaye, imaan ki dawat di, bani israel ki aazaadi ka mutaalba kiya, fir’aun ne inkaan kiya toh hz musa as ne Mauqa paakar bani israel ko samundra paas karwa diya aur unke dushman ko dubo diya, uske baad bani israel apni na’farmaniyon ki wajah se lambi muddat tak registan(deserts) me bhatakte rahe, isi dauraan hz moosa as ki maut ho gayi aur unhe ” khorab” ki ek waadi ” bait nafoor” me dafan kar diya gaya…

● ISAIYYAT (CHRISTIANITY):

Isaiyyon ki aasmaani kitab ka naam ” injeel ” hai jise ahad nama jadeed (new testament) bhi kaha jaata hai,

ahadnama qadeem aur ahadnama jadeed dono ko milaakar BIBLE kaha jaata hai,

yahudi sirf ahadnama qadeem ko maante hain, ahadnama jadeed ko nahi maante,

isaayi ahadnama jadeed ko maante hain aur yah aqeeda rakhte hai ki, ahadnama jadeed, ahadnama qadeem ka radd hai
yah baat to tamaam isaayi padri ke nazdeek bhi taiy hai ki hz isa as ne apne peeche koi likhi hui kitab nahi chhodi aur yah baat bhi isaayi researchers ke nazdeek sahi hai ki hz isa as ki wafaat( isayon ke Mutabik) ke 140 saal baad tak injeel ka koi nuskha duniya me maujood nahi tha,

hz isa as ki wafaat se kam se kam 200 saal baad isaayi jab alag alag firqon me bate to har firqa ne apni apni muqaddas kitaaben likhna shuru kar di,

isliye 325 CE (yani hz isa as ki wafaat ke 325 saal baad) constantinople ke baadshah ne 300 padriyon ki council banaayi aur use asli injeel talaash karne ka huqm diya

council ne maujood injeel ki tamaam kitabon ko ek dheir ki shakl me mez(table) ke neeche rakh diya aur khuda wand se darkhwast ki, ke inme se jo aasmaani nuskha hon wah falaaang kar mez par aa jaayen aur jaali (batil) nuskha wahi padi rahen,

aisa hi huwa 4 nuskha ke elawa baaqi tamam nuskhe jaali qaraar dekar jala daali gayi aur wahi 4 ko sahi qaraar diya gaya… Jo is tarah hain

1-MATTI (METHEW) ki injeel

2-MARKUS (MARK) ki injeel

3-LUKA (LUKE) ki injeel

4-YUHANNA (JOHN) ki injeel

in charon injeelon ke Musannafeeno (authors) mese kisi ek ne bhi is baat ki zarurat mahsoos nahi ki, ke wah apni likhi gayi maalumaat ka hawaala (proof) de ki un tak yah maalumaat hz isa (as) se kin kin waaste se aur kitne zariyon se pahunchi,

yahi wajah hai ki khud yahudi aur isaayi researchers ke nazdeek anaazeel ki tahreeron ki koi tareekhi aur pukhta haisiyat nahi,

isliye ” bible, qur’an aur science” ke writer moris beckle kahte hain”

"jab ham injeel ko padhte hain toh hamen zara bhi is baat ka yaqeen nahi hota ki ham beshak hi maseeh ke alfaz padh rahe hain”

(page 110, urdu translation, publisher crescent publising co.)

moris bokle ke is daawe ki taeed khud injeel ki kuch aayaton se bhi hoti hai, misaal ke taur par in par dhyan den
1- hz isa as ne farmaya:-” mujhse pahle jitne ambiya aaye we sab chor (theif) aur lutere (robber) they”

(yuhanna surah 10)

2- hz isa as ke paas ek kan’aani aurat (maangne) aayi toh Hz isa as ne usse kaha:-” main bacchon ki roti kutton ke saamne nahi phenkta”

(marks surah 7, ayat 27-28)

3- ” yah na samjho ki main zameen par sulah karaane aaya hun, sulah karaane nahi balki talwaar chalaane aaya hun”

(mattew chapter 10, ayat 34)

4-” jiske paas talwaar na ho wah apne kapde bech kar talwaar khareed le ”

(luke ch 22, ayat 36)

5- hz isa as ne yahudion ko in alfaaz se mukhaatib farmaya:-” aiy dikhaawa karne walon, faqeeho aur fareesiyon ! Tum nabiyon ke qaatil ki aulaad ho, aiy saanpo, aiy aafai ke baccho ! Tum jahannum ki saza se kyonkar bachoge”

(mathew ch 33 ayat 29-33)

6- ” hz noah as sharaab ke nashe me apne ghar nange ho gaye”

(paidaish 9/21-22)

7- ” hz yaqoob as ke chauthe bete yahuda ne apni bahu( daughter in law) se badkaari karke aulaad paida ki”

(paidaish ch 38)

8-” hz haroon as ne sone(gold) ka but bachhde(cow) ki shakl me banaakar uski pooja paath karaayiAur shirk jaisa ghinauna jurm kiya”

(khuruj 32/1-6)

9- “apni maa ke kahne par hz yaqoob as ne daghabaazi se kaam liya, dhoka, jhoot aur makkari ke saath apne boodhe baap hz ishaq as ko dhokha dekar apne bade bhai eesu ki barkat chheen li”

(paidaish ch 27)

ab aayye hz isa (as) ki halaat e zindagi ki taraf..

Anazeel arba ke mutaabik hz isa (as) pelestine ke shaher ” naasira” me paida hue,

baap ka naam yusuf aur maa ka naam maryam tha

(matthew ch 1 ayat 16)

8we din khatna kiya gaya, jab aap 12 saal ke hue toh maa baap jeruselam le gaye
hz isa (as) ke shuruaati 30 saal andhere me hain, koi nahi jaanta ki hz isa (as) ne apni zindagi ke 30 saal kahan aur kaise guzaare ?

( taareek qaleesa az moshiam, ba’hawala mazaahib e aalam ka taqaabuzi jayeza page 420)

30 saal ke baad hz isa (as) ko hz yahya (as) ne “baptism” diya, jiske baad unki paighambari ki shuruaat hui

hz isa (as) ne shaher shaher, Gaaon gaaon jaakar logon ko daawat di,

yahudi ulema aapke khilaaf ho gaye aur ilzaam lagaya ki isa (as) apne aapko khuda ka beta kahta hai, aur yah ilzam bhi lagaaya ki isa (as), dawood (as) ke takht ka waaris hone ka daawa bhi karta hai aur roomi (roman) huqumat ke andar ek aisi huqumat qayam karna chahta hai jo roomi huqumat ka takhta palat de,

is tarah yahudi ulema ki zidd par roomi governe ” palatoos” ne hz isa (as) ko giraftaar (arrest) karne ka huqm diya, giraftaar karne waalon me isa (as) ka ek hawaari ” yahuda iskarpoti” bhi shamil tha, albatta baqi tamaam shargird jo hz isa (as) ke saath they we sab bhaag gaye..

Hz isa (as) par muqaddama chalaaya gaya aur phaansi ki saza di gayi, us waqt hz isa (as) ki umar(age) 33 saal thi..

Anaazeel ke mutabik 3 re din hz isa (as) dobara zinda kiye gaye, apne hawaariyon se mulaqaat ki 40 din is duniya me qayaam ke baad aasmaan ki taraf utha liye gaye
(duniya ke bade mazahib page 288-291)
ye hai saari malumaat jo hamen injeel ke hawaale se hz isa (as) ki zindagi ke baare me milta hai aur bas !
Ab aayye ek nazar aakhiri khudaai mazhab par bhi nazar daalte chalen….

● I S L A M :

islami paak kitab ka naam ” qur’an majeed” hai jo wahi (revelation) ke zariye rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) par naazil hui,

jise rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak zindagi me bhi bahut se sahaba kiram (ra)(companians) ne zabaani yaad kar liya..

Seerat (biography) ki kitaabon me un tamaam sahaba kiram ra (mard wa aurat) ke naam tak mahfooz hain,

wahi (revelation) ke utarne ke saath saath rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne uski kitaabat ka bhi bandobast kiya aur yun aap rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak zindagi me hi saara qur’aan majeed likhi hui shakl me mahfooz ho gaya

jin jin sahaba kiram (ra) Ke paas likhi hui shakhl me qur’an majeed maujood tha, seerat ki kitabon me unke naam bhi mahfooz hain

siddeeqi daur me sahaba kiram ra ne soch samjh ke baad tamaam qur’an majeed ko jama karne ke liye ek committee banaayi jisne badi kadi sharton ke saath qur’aan majeed ko jama kar diya,

usmani daur me tamaam saheefon ko jama karke ek tarah ki likhi hui surat me laya gaya jo usse pahle saat alag alag tahreeron me tha,

is tarah rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat mubaarat ke kuch saal baad hi qur’an majeed ko uski maujooda shakhl me mahfooz kar diya gaya, jo aaj tak bina kisi heir pheir ke sahi saalim maujood hai,

pichhli 15 sadion me islam dushmano ne qur’aan majeed me heir pheir karne ki kai baar saajishen ki, lekin allah taala ne use tamaam dushmano ki shaazishon se poori tarah mahfooz rakha

musalmaano ki aasmaani kitab ke baad ab ek nazar paigambare islam rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak seerat par daaliye

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paidaish ki jagah,

taareekh e paidaish, paak naam, shajra nasab (family tree), maa ke paas tarbiyat, qabeela (tribe) bani saad me tarbiyat,
bachpan me pesh aane waale waqeye, maa ki wafaat, dada ki sarparasti, aur wafaat, chacha (uncle) ki sarparasti,

tijaarat, pahla nikah, aulaad, nubuwwat se pahle rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka akhlaaq, quraish ki ladaayi aur sulah,

ameen aur saadiq hona ka rutba, hajar e aswad ki tanseeb. Hira gufa (cave) me tanhaayi ka waqt, wahi ki shuruaat,

khoofiya(secret) daawat, khuli daawat, mukhaalifat, sardaaraane quraish se baat cheet, safar (journey) taif, meraj,

bait e aqba (1), bait e aqba (2), hijrat, quba me qayaam, madeen munawwara me tashreef laana, ahle kitab se sulah, ghazwa badr, ghazwa uhud, ghazwa ahzaab, sulah Hudaibiya, salaateen ke naam letters, makka ki fateh, tabuk ka safar, hajjatul wida, marjul maut, wafaat,

yani rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak zindagi ke tamaam pahluon ka poori tashreeh seerat ki kitaabon me maujood hai…

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak zindagi ke baad aap rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki taalimaat (education) par nazar daal lijiye..

Imaan, paaki, ibaadat (namaz, roza, zakaat, umrah, hajj, sadqa, khairat, tauba, astaghfaar ), len den, halaal wa haraam,
tijaarat, kheti baadi, mazdoori, khaana peena, sona jaagna, chalna firna, maa baap aur aulaad ke haq,

rishtedaaron aur doston ke saath sulook, shadi-shuda zindagi, yateemo, bewaaon, miskeeno aur mohtaajo ke saath sulook,
mehmaan nawaazi, padosiyon(neibours) ke haq, jaanwaron ke haq, nikah, talaaq, iddat, paidaish, rajaa’at, bimaari, sehayaabi, timaandaari, maut, Janaza, kafan -dafan,
meeraas, imaarat, adaalat, imaamat, sipah salaari, jung sulah, ghanimat ke maal, fatah, shikast, dosti, dushmani,
matlab yah ki insaani zindagi se talluk rakhne waale har cheez par aap rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki taaleem hadith ki kitaabon me maujood hai,

insaani zindagi ke kisi aise goshe ka naam lijiye jiske baare me rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki taaleem hadith ki kitabon me maujood na hon,

ghaur kijiye , peshaab pakhaana, janaabat, haiz, nifaas aur ghusl tak ke masai badi safaai ke saath maujood hain

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki taaleem ke baad rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki zaat ko lijiye..

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka huliya mubarak kaisa tha?

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki hatheli, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke talwe,

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki aidi(heals),

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki pindli, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki baghal,

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki aankh, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka muh mubaarak,

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka qad, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke baal (hairs)
rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka paseena, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka rang (color) kaisa tha ??

Yahan tak ki rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki daardhi(beard) mubarak me safed (white) baalon ki tadaad kitni thi,

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka libaas, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka amaama(turban),
rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki chaadar (blanket)..

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke moze (socks), rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke joote (shoes), rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki anguthi (ring),

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki kanghi (comb), rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka surma,

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka takiya (pillow) kaisa tha ??

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki baat cheet kaise thi, bolne ka andaz kaisa tha, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka muskuraana aur aansu bahana kaisa tha ??

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) sote kaise they, jaagte kaise they, chalte kaise they, uthte kaise they aur baithte kaise they, khana kaise khaate, paani kaise peete, khaane me kya pasand tha, kya na’pasand tha??

Khushbu kaun si pasand thi, muhabbat ka tareeqa , naraazgi zaahir karne ka tareeqa kya tha, shadi Shuda zindgi guzaarne ki tareeqe kaise they ??

Aulaad ki tarbiyat kaise ki ?

Matlab yah ki rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki zaat paak ke baare me kisi aise pahlu ki nishaan dehi nahi ki ja sakti jo seerat ki kitabon me mahfooz na ho…..

Bhaiyyon ! Uper likhe saare mazhabon ki taleem aur unke laane waalon ke haalaat par baar baar nazar daalen aur phir sochen aur samjhen ki..

1- KYA majoosiyat jaisa ghair mahfooz, ghair yaqeeni, aur mahaz 72 geeton par mabni mazhab,

islam jaise mahfooz, muqammal aur sacche mazhab ke liye kisi bhi darje me challenge banne ki qaabiliyat rakhta hai??

Kya rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak zindagi ke dalail, aur poori haalaat e zindagi ke muqaable me ‘ ZURTUST’ ki zindagi ke bilkul ghair yaqeeni aur aadhi aadhure haalaat e zindagi me duniya waalon ke liye koi faayeda ho sakta hai ??

2- KYA hindu mat, jiske laane waale ka pata Nahi, jiski paak kitab shirk ki taaleem deti hain, aurat ko nafrat ke qaabil thahraati hain, apne elawa dusre mazhabon ke maanne waalon ko jalaane, kuchalne, qatl karne aur cheerne faadne ki taaleem deti hai, insaano ko jaat paat me baat’ti hai,

aisa mazhab, islam jaise aman pasand, insaaf pasand ke muhaafiz aur tauheed ka jhanda buland karne waale deen ke liye kabhi challenge nahi ban sakta ??

3- KYA budh mat, jiske laane waale ki 80 saala zindagi me se 70 saal ka waqt parde me chhupa hai, jiski taleem uske laane waale ki maut ke 200 saal baad uske shargirdon (students) ne taiyyar ki hain,

ek aise mazhab ke liye challenge banne ki haisiyat rakhta hai jiske nabi rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki zindagi ka ek ek lamha poore yaqeen ke saath seerat ki kitaabon me mahfooz hai, aur jiski aasmaani kitab ka ek ek alfaz sadiyon se poore taur par mahfooz hain ??

4-KYA yahudiyat, jiski Muqaddas kitab ” tauraat” ki sahi hone ki zamaanat khud yahudi researcher ki nazar me na qaabil hai, aur jiske daee (as) ki seerat ke ek pahlu, yani jhoot se takraane, ke elawa baaqi tamam pahlu duniya waalon ki nigaah se ojhal ho,

kya aisa mazhab, islam ke liye challenge ban sakta hai, jiski paak kitab “qur’an” pichhle 15 sadiyon se poore taur par mahfooz hai aur jiske daee rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki seerat har insaan ko paidaish se lekar maut tak poori rahnumaayi karaati hai ??

5- KYA isaayyat, jiski aasmaani kitab ” injeel” khud isaayi researchers ke nazdeek uljhi hui, samjh se baaher, aur ghalat alfaazon se bhari padi hai jise padhne ke baad, padhne waala bhi uljhan aur pareshani ka shikaar ho jaata hai aur jiske daee (as) ki 30 saala zindagi me se 27 saal duniya waalon ki nazaron se chhupe hain,
kya wah mazhab apne andar ek aise deen ke liye challenge banne ka dam kham Rakhta hai jiski paak kitab ” qur’an” ki sehat ko pichhle 15 sadiyon se koi challenge karne ki himmat nahi kar saka, jiske daee rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki zindagi ke sirf nubuwwat ke 23 saal hi nahi, balke nubuwwat se pahle ke 40 saal ka ek ek lamha khuli kitaab ki tarah poori duniya ke saamne hai..??

Saare sawaalon ka jawaab bilkul saaf aur do took hai “BILKUL NAHI ”

Hamare is jawab ka saaf aur pakka suboot un mazhab ke naye muslim(converted to muslim) ke we aitraaf hain jo unhone islam qubool karne se pahle ba’qaayeda tamam mazhab ko jaanch parkh ke baad kiye hain,
ek misaal ye bhi hai…

1- kolkata me ek hindu raaja ke yahan paida hone ke baad islam me daakhil hone waali aurta ” jaawed bano begum” ne mazhabon ki tahqeeq ke baare me apne feelings bayaan karte hue bataaya ki maine sabse pahle , budh mat ki tahqeeq kiya lekin itminaam haasil na huwa, phir isaaiyyat ki Tahqeeq ki toh usse bhi naqamyabi mili, aur main dobara hindu mat ki taraf chali gayi, lekin vedon ki taaleem ka insaan ki zindagi se door ka bhi waasta nahi, jab maine islam ko padha wa tahqeeq ki toh main bahut khush hui, meri ruh (soul) me itminaan ho gaya ki maine sacchaayi pa li hai,

sirf islam hi duniya me aisa mazhab hai jo hamari zindagi me hamari sachi rahnumaayi kar sakta hai, aur duniya ke tamam ruhaani rahnumaaon me se aaqa e naamdaar rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) hi ek aise shakhs hai jo aazaadi, bhai chaara aur yaqshaniyat(equality) jaise sunehre usool lekar aaye hain, jin par chalkar insaan nijaat haasil kar sakte hain.

(ham musalman kyon hue page 75, dr. Abdul gani farooq)

The end

Home | Noaman.Wapka.Me

Farishton se Behtar Hai Insan Banna, Magar Is mein Lagti Hai Mehnat Ziada

"Farishton se Behtar Hai Insan Ban'na, Magar Is mein Lagti Hai Mehnat Ziada"

Hazrat-Muhammed{sall’ Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ka mission kya tha.?

Us mission ka asal kam (highest virtue) kya tha?

Hazrat- Mohammed {sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ke mission ke bare mein baat karne se pehle hum is duniya ko Allah ne kyon banaya isse janna bahut zaruri hai. Duniya ke bare mein soch kar ek samjhdar insaan ye sochne par majboor hota hai ke ”yeh kaynat(universe) kyon paida ki gai hai ?

Kisne paida ki hai?

Kya Ye apne aap chal rahi?

Yah iska koi chalane wala bhi hai?

Iska anjam kya hone wala hai?

Is mein jo Allah ne cheeze paida ki hai,kyon paida ki hai?

Fir insan sochta hai meri zindgi ka maqsad kya hai?

Mujhe kyon paida kiya gaya hai?

mera role kiya hai? meri hasiyat kiya hai?
mera anjam kya hone wala hai?

Ye sawal paida hote hai?

Ab jab hum inka jawab quraan mein dhundte hai tab hum pate hai..

Allah quran mein farmata hai , “aur yaad karo jab tere ‘rab ’(palnewale) ne ‘farishto’ se kaha ki mein zameen par ek ‘khalifa’(vicegerent) bana ne wala hu”
( surah-al-baqrah,aayat-no: 30)

{yeh hazrat adam ki paidaish ke pehle ka mamla hai, Allah ne hazrat adam(yani hum insano) ko is kaynat ka khalifa banaya hai. khalifa kuan hota hai ?

Khalifa= wo jo malik (owner) ki milkiyat(estate, property) mein us(malik) ke diye gaye ikhtiyar (power, rights,privileges) malik ke numayendey (representative) ki hasiyat se istemal kare. khalifa malik nahi hota balki asal mein malik ka nayib (representative) hota hai. khalifa ke ikhtiyar personal nahi hote balki malik ke diya gaye hote hai,woh apni marzi ke mutabik kam karne ka haq nahi rakhta, balki us ka kaam malik ki marzi ko pura karna hota Hai, agar khalifa apne aap ko khud malik samjhne lage aur apne ikhteyar ko manmane tareke se istemal karne lage ,ya asal malik ke siwa kise aur ko apna malik samjhne lage toh yeh sab ghaddari aur bagawat hai. Aur dosri baat jab Allah ne insano ko zameen ka khalefa banaya to is ka seedha sa matlab ye tha ke, Allah insan ko ikhteyar de kar aazmayega ke kuan allah ki marzi ke mutabik un ikhteyar ko istemal karte hai aur kuan nahi.

Aur Allah yeh bhi kehta hai ke “hum ne jinno aur insano ko sirf isliye paida kiya hai ke woh meri ibadat(bandegi) karein”.
(surah-al-zaryaat, aayat- no: 56)

{ibadat ka matlab sirf namaaz ,roza nahi hota balki puri zindagi allah ki marzi ke mutabik guzari gai hai.( complete obedience not partial obedience)}.

yah to tha insaano ki paydaish ka maqsad. Jisko yaad karwane ke liye allah ne waqt-waqt mein apne messengers bheje,aur in sab messengers mein akheri hazrat muhammmed{sall’ allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} hain. (in sari baton ka ek natija (result) nikalta hai ke ek din aisa hona chahiye jab Allah apne farmabardaro ko reward de aur na- farmano ko punishment.)

Aaye ab hum dekhte hai hazrat muhammed { sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ko allah ne kyon rasool bana kar bheja hai, muslims se allah kiya chata hai ?

Hum muslims ki kya responsiblity hai?

Sabse pehle hum hazrat muhammed{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ke responsiblity ko dekhte hai .

Allah aage hume batlata hai, huzur {sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ko Allah ne jab rasool banaya toh kaha “utho aur kahbardar karo” (arise and warn)
{surah-al-mudassir, aayat- no: 2)

hamesha ki jannat aur dozak ka fasla hojaega.fhir dusri jagah allah farmata hai “wah(rasool) unhe(logo ko) neki ka hukum deta hai, burai se rokta hai, unke liye pak chize halal aur napak chize haraam karta hai, aur unpar se wah boj (loads) utarta hai joh unpar lade hue the aur wah bandhan khoalta hai jin mein wey jakdey hue the.
{surah-al-aaraaf, aayat-no: 157).

Hazrat muhammed{saw} ke asal maqsad(highest virtue) joh aap ko tamam nabi aur rasoolo ki jamaat mein ek alag position ata karti hai. Allah kehta hai ”Woh Allah hai jisne apney rasool{saw} ko hidayat[ guidance (quran)] aur deen-e-haq (complete way of living) de kar bheja hai,taki usko galib(superior) kare sare ke sare nizam-e-zindagi (system of life) par aur is haqeqat ki gawahi ke liye Allah kafi hai”.
(surah-al-fatah, aayat-no: 28)

ye aayat-e-kareem 3 bar quraan mein aai 2 bar similar aur 1 bar sirf thode se farq ke saath {surah-al_fatah, aayat-no: 28 , surah-al-saff, aayat-no: 9& surah-al-anfaal, aayat- no: 33 }

Allah ne is ayat 3-3 bar nazil kyon ki zara sochiye? Yani is aayat se hume pata chala ke allah ne hazrat Muhammed{ saw} ko 2 chiz di hai nos

1. Hidayat(quran) aur

2. deen(yaani Allah ka bheja hua zindgi jeene ka tareqa jise hum ‘shariat’ bhi kehte hai)

Aayat se ek baat aur pata chali ke allah ne farmaya”taki usko galib (superior) kare sare ke sare nizam-e-zindagi( system of life) Par ”

yani hum muslims ke zimme yeh duty hai ke hume allah ke deen ko galib(superior,bada) banana hai. Yeh hum sab muslims ki duty hai ,yeh farz-e-aaen hai(no one is exempted) .

kiya hum ye kaam kar rahe hai ???.

hume allah ne apne deen ko puri duniya mein bada banane ko kaha tha lekin afsos sad afsos musalmano socho toh zara duniya ke kis hisse mein allah ka bheja hua deen chalta hai.

gairo ko chodo khud hamara ‘haram-halal’ dusre decide karte hai.allah ka bataya ‘haram-halal’ aaj neeche hai. (Allah gawah hai mujhe rohna aa raha hai) jua(gambling) zina ( fornication) sood(interest) , blue films (ka dekhna kis kadar shaitaan ne asan bana diya), behayai hamre rab ne toh parda de kar hazrat Muhammed{saw} ko bheja tha, fasley kis kanoon ke mutabik ho rahi hai

Allah farmata hai “joh log Allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na karey wahi toh kafir hai”,

“joh log Allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na karey wahi toh zalim hai”

“joh log Allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na kare wahi toh fasik (reblious) hai”

(surah-al- maidah, aayat- n0 : 44 ,45 ,47)
liberalism,seclarism, etc etc sab hai par afsoos kahi ‘Allah ka kaha’ nahi hai’… ‘Allah ki aise bagawat isse pehle zameen mein kabhi nahi hui’. Hum kehte zaroor hai ‘har namaz mein ‘Allah hu akbar’(Allah sabse bada hai).

Musalmano batao kiya Allah sach mein bada hai? Ya shaitaan bada hai? Nahi ban paya? Kiya hamarey ghar mein T.V band ho gayi? Kiya hum sood(interest) ki lanat se bach gaye? Kiya hamarey shadi-biyah Allah ki marzi ke muttabik hote hai? Hum kaha-kaha tak haram halal ka tameez karte hai? Kab tak musalmanno time pass karoge?

Allah farmata hai ”kiya imaan walo ke liye woh waqt nahi aaya ki unke dil Allah ke zikr(quran) aur uske utare hue haq ke aage jhuk jae.
(surah- al-hadid, aayat-no: 16)

jab tak shariat(divine law) zameen par lagu nahi kiya jayega Allah bada nahi banega!!!
Kyon ke Allah ne apne rasool{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ko deen- e -haq de kar bheja hai. Islam isliye aaya hai ke uske mutabik zameen chale.

Allah farmata hai agar musalmano tum Allah ke kam nahi karoge toh Allah tumhare sath ye karega ”kaho agar tumahre baap,tumahre bete,tumahre bhai, tumahri wifes, tumahri family, aur wo maal joh tumne hasil kiya hai aur wah karobaar jiske mandey pad jane ka tumko shak hai aur wah ghar jo tum ko pasand hai tumhe allah se, aur uski rah mein jahddo- jehad (struggle) karne sey zyada mehboob hai toh intezar karo yaha tak Allah apna fasla sadir farmaye. Aur Allah nafarmano ko rah nahi dekhata. ”
(surah-al-tauba, aayat-no: 24)

jaddo-jehad(struggle)ye batati hai ke kaun Allah se aur uske rasool se sach mein mohabbat karte hai. Lambi-lambi zabane rakhne wale musalmanno yeh kaam Allah ne hum sab par farz-e-aan(no one is exempted)hai.

Arey apney career ,apney buisness,apney kaamo ko choro aur Allah ka kaam chalu karo ..marna tumko bhi hai marna mujhe ko bhi hai qabar Mein jana hai fir Allah se kyon daga karte ho, agar nahi karoge to Allah farmata hai ”uski rah mein jahddo- jehad(struggle) karne sey zyada mehboob hai toh intezar karo yaha tak Allah apna fasla sadir farmaye’ ‘Allah aage farmata hai “tum inke maal aur aulad dekh kar tajjub na karo. Allah to ye chahata hai ke inke zareye sey in ko duniya ki zindagi mein azab de aur inki jaane is haal mein nikale ki wo kafir ho’
(surah-al-tauba, aayat-no: 55)

arey socho zara sahaba nabi{saw} ka sath chor kar apney gharo se nikley madine shareef mein to Nabi{saw} the. ‘jaha Nabi{saw} ka paseena gira sahaba ne apna khoon gira diya..aur islaam galib ho gaya’ .
aaj kitne afsoos ki baat hai deen gairoh ka nafis (buland) hai, hum muslim unke deen ke tehat apni zindagi guzar rahe hain. ‘hum apney islaam ko sirf mazab (only namaz, roza, haj) bana kar rakh diya hai, jabki islam deen(24 hours life) hai’. hume unko jaziya (tax) de kar zindagi guzar rahe hai, deen unka bada hai, hum sirf namaaz roza tak muslim hai.

Allah farmata hai ”jab kitab ke ek hissey par amal karoge aur ek hissey ka inkar to aisa karne wale ki saza is ke siwa aur kiya hogi ke duniya mein ruswai aur aakhirat mein sakht tareen azab’
(surah-al-baqrah, aayat- no: 85)

aayat ke in alfaz par ghaur kare ‘akhirat mein sakht tareen azab . Qiyamat mein to sab jante hai ke sabse zada azab munafiqo (joh dawah karte hai muslim hone ka lekin islam par pura aamal nahi karte) ko milega . Munafiq aur bidati jahannum ke sabse Nichley darjey mein honge’
(surah-al-nisa, aayat-no: 145)

"Lado unse jo
(1) imaan nahi rakhte allah par
(2) na hi Qiyamat par
(3) na hi wo haraam karte hai jo Allah ne aur uske Rasool{saw} ne haraam kiya hai
(4) aur wo jo islaam ko kubool nahi karte ahl-e- kitab (jews and christians), jab tak wo jaziyah(tax) nahi dete apni marzi se, aur chote ban kar rahe”
. (surah-al-tauba, aayat-no: 29 )

” aur ruzu(palto) apney rab ki taraf aur uskey farmabardar bano isse pehle ke tum par azab aaye, fhir tum ko koi madad mil na sakegi ”
(surah-al-ankaboot, aayat- no: 54 ).

” aye eman walo! Allah ke madadgar bano . jis tarah isa-ibne-maryam ne apney hawariyo(companions) se kaha tha ‘kuan hai allah ke rah me mera madadgar? Hawariyo ne jawab diya tha, hum hai allah ke madadgar.to bani israel ke ek giroh emaan laya aur dusrey giroh ne kufr kiya. Toh humne(allah ne) emaan lane walo ki unke dushmano ke muqabley mein madad ki aur wah galib ho gaye (surah-al-saff, 14) “

★•.•´¯`•.•★★•.•´¯`•.•★★•.•´¯`•.•★

Home | Noaman.Wapka.Me

Musalmano ki Moujuda Pasti ka Wahid Ilaaj Da'wat o Tableegh & Jihaad

DA'WAT E DEEN - WAHID HAL

(Zaroor Poora Padhe)

Ye ek haqiqat hai k hamare mulk me Hukumat koi bhi kare, Hasbe Sabiq Tawaqqo yahi hai k Musalmano ki taraf adam Tawajjo k baa-is Musalmano k masail "Jou ke Tou" mojud rahenge, itne bade mulk me, itni badi Aqalliyat me hone k baa-is, Mulki polisiyon par asar andaz hona, aur Iqtadar k Eiwano ko apni zaruriyat k mutabiq dhalna hamare liye Aasaan nahi hai, ye raah itni dushwar hai k guzishta 62 saalo me Lagatar jaddo jahad aur fikar k bawajud hum koi Qabile zikr kamyabi hasil karne me Nakaam rahe hain, is liye Quran o Sunnat ki haamil aur Aasmani Taleemat ki amanat-dar Ek Qaum ki haisiyat se hame is silsile me bhi Deeni Talimaat aur Islami Nazariyat se hi Rahnumayi hasil karni chahiye. .

Musalman aise tamam Mulko me jahan Aqalliyat me ho, aur wahan ki Hukumat par asar andaz hone aur apne Deeni Tashakhusaat(Pehchan) par Qaim rehne se majbur ho, khususan India jaise mulk me, jahan itni badi tadaad me wo rehte aaye hain, aur apne Mulk o Watan k sath aakhri darje me wafadari paish karte rahe hain, wahan k halaat me hamare saamne FIQAH ISLAMI ki roshni me 3 RAASTE HAIN:

1. Jihaad Fi-Sabilillah,
2. Hijrat,
3. Da'wat Ilallah.

(Is Silsile me Fiqhi Juziyat aur Iske tafsili dalaail k liye Mo.Khalid Saifullah Rahmani D.B Ki kitab"Dawat e Deen Musalmano k Masaail ka Wahid Hal"mulahiza farmaye)

●------- Pehla Raasta Jihad ka hai, k wo Jihaad Fi Sabilillah ko wasta bana kar apna Iqtedar Qayam kare, Aur Ahkaam e Ilahiki ittiba k liye, Aur Deen k tamam Shoabon par amal dar amad k liye saazgar mahol hasil kre, Lekin hamare Mulk me Baaz wajuhaat ki bina par ye kaam anjam nahi diya ja sakta, isliye k Islami Jihaad ki jo Shartein hain inme bahot se ikhtiyarat o Sharait k sath AMEER ka wajood bhi shamil hai, iske ilawa Ek Zaroori $HART ye hai k Pehle Mad'oo Qaum tak Islam ki Dawat pahoncha di gayi ho, aur Hum yahah in Sharait ko puri kar pane me NaKaam hain. .

●------ Musalmano k liye Doosra imkani Raasta Hijrat ka ho sakta hai, k jahan Musalmano ko apne Tshakhusat k sath Deen par chalne ki puri Azadi hasil na ho to apni zamin ko khairbaad kehde, aur kisi new sar zamin me boud o bash ikhtyar kar k apna Azad Ashiyana Tameer kre, Mulki Qawanin ki pabandiyo k ilawa itni badi Tadaad me basne wale yahan k musalmano ka kisi dusre mulk me Hijrat krna bhi mumkin nahi hai. .

●------- Isliye Moujuda Halaat me Musalmano k liye TEESRA WAHID RAASTAH, DAWAT E DEEN KA RAASTA HAI, Millate Islamiya k afrad Dawat e Deen k kaam ko apni Qaumi Zarurat samajh kar, apna Deeni Fariza Tasawwur kar ke, aur millat k ijtimayi masaail ka wahid hal tasleem krte huwe is Maidan me kamar basta ho jayen, Aur ALLAH KA PAIGAM ISKE BANDO TAK PAHONCHA KAR DAM LE , is tarah wo Islam k jism me New TAQAT, aur iski rago me NAYA KHOO paida kar sakenge aur apni zimmedari ka ahsaas kar ke bade paimane par, is kaar e khair me hissa le kar ipni aur is Mulk ki Taqdeer badal sakte hain. .

Moujuda Halaat me Hindustani Musalmano k liye har aitebaar se DA'WAT E DEEN ka mubarak kaam hi inke tamam Masaail o Mushkilaat ka WAHID HAL, aur ba haisiyat e millat hamari Kamyabi k liye Raah e Mustaqeem hai.

La phir Ek baar wahi badah o jaam AYE SAQI
www.Armughan.net

DA'WAT E DEEN Millat Ke Ek Aham Mas'ale Keliye NUSKHA E SHIFA

(Zaroor Poora Padhe)

Aaj puri duniya k halaat par gaur kiya jaye to pure Aalam me Ummat e Muslima ko ek mas'ala dar paish hai, aur puri ummat is mas'ale se joojh rahi hai, aur mukhtalif Tariqon se is mas'ale k hal keliye koshishein ki ja rahi hain....Magar isi Qadar ye mas'ala aur Ulajhta ja raha hai....

Mas'ala Ye Hai Ke Aysa Lagta Hai Ke Poori Duniya Musalmano Ki Dushman Ho Gayi Hai.

Yahoodi aur Isaai, in dono Mazahib k maan'ne walon k BUNYADI AQAID me Aakhri darje ki mukhalifat payi jati hai, wo dono Musalmano ki mukhalifat me Muttafiq ho gaye hain.

Iske alawa doosri sab Qaumein bhi Musalmano ki Dushmani k Nukte(point) par Muttahid aur Aik Jutt ho gayi hain, aur is dushmani ko door karne keliye jitni Tadbeerein aur Koshishein ki ja rahi hai, Dushmani badhti ja rahi hai, Iski Asal Wajah ye hai k HAAMIL E QUR'AN UMMAT Ne Apne Masaail ka HAL aur ILAAJ Haqeeqi Doctor aur Haqeeqi KaarSaaz ki Kitab QUR'AN E MAJID k ilawa doosre zaraye(Raaston) se Hal karne ki koshish ki hai, Jiski wajah se Haal ye hai ke:
MARZ BARHTA GAYA JO JO DAWA KI
Fa'aa Lul Lima Yureed Aur Alaa Kulli Shai-in Qadeer Haqiqi Doctor ki Kitab Quran Majid ki Surah HA-MIM SAJDAH(41) me is Dushmani ko Dosti me Badalne ka Ek Murakkab Nuskha e Akseer bataya gaya hai.

ALLAH TA'ALA KA IRSHAD HAI:

ﻭﻣﻦ ﺃﺣﺴﻦ ﻗﻮﻻ ﻣﻤﻦ ﺩﻋﺎ ﺇﻟﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻋﻤﻞ ﺻﺎﻟﺤﺎ ﻭﻗﺎﻝ ﺇﻧﻨﻲ ﻣﻦ ﺍﻟﻤﺴﻠﻤﻴﻦ ● ﻭﻻ ﺗﺴﺘﻮﻱ ﺍﻟﺤﺴﻨﺔ ﻭﻻ ﺍﻟﺴﻴﺌﺔ ﺍﺩﻓﻊ ﺑﺎﻟﺘﻲ ﻫﻲ ﺃﺣﺴﻦ ﻓﺈﺫﺍ ﺍﻟﺬﻱ ﺑﻴﻨﻚ ﻭﺑﻴﻨﻪ ﻋﺪﺍﻭﺓ ﻛﺄﻧﻪ ﻭﻟﻲ ﺣﻤﻴﻢ ● ﻭﻣﺎ ﻳﻠﻘﺎﻫﺎ ﺇﻻ ﺍﻟﺬﻳﻦ ﺻﺒﺮﻭﺍ ﻭﻣﺎ ﻳﻠﻘﺎﻫﺎ ﺇﻻ ﺫﻭ ﺣﻆّ ﻋﻈﻴﻢ ● ﻭﺇﻣﺎ ﻳﻨﺰﻏﻨﻚ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﻧﺰﻍ ﻓﺎﺳﺘﻌﺬ ﺑﺎﻟﻠﻪ ﺇﻧﻪ ﻫﻮ ﺍﻟﺴﻤﻴﻊ ﺍﻟﻌﻠﻴﻢ

Aur is se Ziyada Achchi Baat wala kon hai jo ALLAH ki Taraf Bulaye aur Nek kaam kare aur Kahe ke Mai Yaqinan Musalmano me se hun, Neki aur Badi Barabar nahi hoti, Burai ko Bhalai se Dafa karo, Phir Wahi Jiske aur Tumhare darmiyan Dushmani hai Aysa ho jayega Jaise Dilee Dost, Aur Ye Baat inhi ko Naseeb hoti hai Jo Sabr kare Aur Is Se Siwaye Bade Naseeb walon ke Koi Nahi Pa Sakta, Aur Agar Shaitan ki Taraf se Koi WasWasa aaye to ALLAH ki Panah Talab karo, Yaqeenan Wo Bahot hi Sunne Wala Jaan'ne Wala hai.
[ http://Quran.com/41/33-36 ]

Quran ke Is Nuskhe ka Pehla Juzu E Aazam me yun Irshad Hota Hai:

★"Waman Ahsanu Qoulam Mim Man DA'AA ILALALLAH"

Is se Behtar Aur Achchi wa Ahsan kiski Baat Ho Saki Hai Jo ALLAH ki Taraf Bulaye....

Apne MASLAK Ki Taraf, Apne MASHRAB Ki Taraf, Apni TANZEEM, Apni FIKAR, Apne NAZARIYE, Apne SHAIKH Ki Taraf Naheee...... Balke Iski Da'awat ALLAH ke Bando ko ALLAH Se Jodne ki Ho..... Doosre Juzye k taur par irsha hai:

★"Wa'amalu Swaleha"

Yani jis Baat ki Taraf Doosron ko Bulaye KHUD iska AMAL iski Gawahi deta ho, ke Wo Bhi Is ALLAH Se Juda huwa Aur Iski Marzi ke Mutabiq Zindagi Guzaar Raha Hai........ Teesre Juzye taur par irshad hai:

★"Wa Quala In'nani Minal Muslimeen"

Yani Is Aik ALLAH keliye Jeene aur Iske Muqable me Har Kisi ki Farman Bardari se Bara'at BaBaang Dahal (Do Touk Bezari ka Aelan kar ke) Iske Farman Bardaar hone ka Aelan kare......... Phir Irshad Hai:

★"Wala Tas'Tawil Hasanatuw-Walas-Sayyi'a"

Neki Aur Burai Barabar Nahi Ho Sakti
★"Idfa Billati Hiya Ahsan"

Burai ko Burai se Saaf Nahi Kiya Ja Sakta, NaPaki NaPaki se Nahi Dhoyi Ja Sakti, Andhere ko Andhere Se Nahi door kiya Ja Sakta..... Burai ko Bhalai se door kiya Ja Sakta Hai, NaPaki ko Paaki se door kiya Ja Sakta Hai, Andhera Roshni se khatam Ho Sakta Hai,.....

Jab Hamare khilaf Log Dushmani me Saf A'ara ho jaye, Jab Sab Log Hamari Mukhalifat par Aamadah Ho Jaye Aur Har Taraf se Hamare khilaf Log Zulm par Ikhatte Ho Jayen,.......

To Tum Is Burai ko Ahsaan se Dafa karo, Aur Dushmano Aur Mukhalifo ki Hamdardi Aur Dard'Mandi ke Sath Inki Khair'Khuwahi se Inko DA'WAT DO,.....

Phir Nuskhe ki Ta'seer aur Iska Natija Ye Bataya Gaya Hai:

★"Faizallazi Bainaka Wa Bainahu Adawatun Ka' annahu Waliyyun Hameem"

To Wo Log Aur Afrad Jin ke Dil Me Tumhari Dushmani aur Ghaiz o Ghazab (Gussa) bhara huwa Hai WO TUMHARE JIGREE DOST WALI HAMEEM Ban Jayenge,...... Aage irshad Hai:

★"Wama Yulaq'Qaha Illallazina Sabaru Wama Yulaq'Qaha Illaa Zu Hazzin Azeem"

Is Nuskha E Shifa ka Fayeda (Benefit) Aur Istemal (Use) Wahi Log Kar Sakte Hain Jo Sabr karne wale hain Aur is Nuskha E Akseer Ka Fayeda Wahi Log Utha Sakte Hain Jo Iske Mazey Se Aashna Ho Gaye Ho, Qur'an Majid me Sabse Zyada Emaan k baad SABR ki Talqeen ki Gayi hai, SABR ke Meaning ARABIC me Apni UMEED, Apne MIZAAJ Aur MAFAAD Ke Khilaf Koi Baat Dekh Kar Mushta'al Na Hone Aur Is Khair Par Jame Rehne aur Datte Rehne ke Hain.

★"Wa Imma Yanzagan-Naka Minash-Shaitani Nazgun Fas Ta'iz Billahi, Innahu Huwas-Samee'Ul Aleem"

Is Nuskha E Akseer Se Mehroom karne Keliye aur Hame Is Dushmani ke Mas'ale se Dochaar Rakhne keliye Hamara Sabse Bada Dushman Uksayega, ke Ye BuzDiLi hai, Eint Ka Jawab Patthar se dena chahiye, Hum kisi kam Nahi.... To Tum Is Dushman se Bachne Keliye Sunne Aur Jaanne Wale ALLAH Se Panah Talab Kar Liya Karo.

Jab Duniya Hamari Dushman Ho Jaye, Jab Log Hame Safa e Hasti se Mitane Aur Darpiye Aazaar (Ghulam) krne par Mujtama Ho Jaye, Jab Log Hame Shirk Ki Da'awat de Aur HAQ Se Hatane ki koshish kare Aur Hamari Dushmani me Aedi Choti ka Zor Laga De Aur Apni Saari Salahiyatein Aur Taqatein Hamare Khilaf Sarf karde, .....To bhi Tum Insaniyat ki Khair Khwahi Ka Mansab, Apne Ko Doctor Aur Doosre Logon ko Mareez, Apne Ko Muallim (Teacher) Aur Saari Duniya ko Muta'allim (Student) Samajh kar, Bhatki Huwi Insaniyat ko Iske RAB Se Jodne Aur Isko Kufr o Shirk Ki Houlnakiyon Aur Dozakh ke Raaste se Bachane ki Fikar Aur Isko Jannat Ke Raaste Par Chalane ki Fikar Karte Raho, .....ALLAH TA'ALA DILO KI DUSHMANI KO DOSTI ME TABDEEL FARMA DEGE, Phir Yahi Islam Ke Dushman Islam Ke Haamil Ban Jayenge...
Poori Insani Tareekh Gawah Hai Ke Jab Bhi Haqeeqi Doctor Ki Kitab Ke Is NUSKHA E AKSEER ko Lekar Khair Khwahi Ke Sath DA'WAT, kisi Musalman Ne Aakhri Darje Ke Dushmanaan e Islam par Paish ki, ....To Mareez Ke Halaq Aur Qalb o Dimagh me Dawa ka Asar Pahonchte hi DUSHMANI ke MARZ se SHIFAYABI Naseeb Hoti Hai...
★ Misal k Taur Par Gaur Farmaye....

●------ Umar Bin Khattab kon Hain...Jab DA'WAT ILALLAH Ki Aik Khuraak Rakhi Dawa DIL O DIMAGH Me Utri ke Mareez Shifayab Ho Kar Daar E Arqam tak Pahonchte Pahonchte Umar Bin Khattab Ameerul Momineen (FAROOQ E AZAM) Banta Huwa Nazar Aaya Aur Zabane Risalat Se"Lou Kaana Ba'adi Nabi Lakana UMAR"(Agar Mere Baad Koi Nabi Ho Sakta To UMAR Hote)

●------ Khalid Bin Waleed kon Hain...Jab DA'WAT ILALLAH Ki Aik Khuraak Rakhi, Aur DIL O DIMAGH Tak Utri To"SAIF MIN SIFULLAH"NABI (SAW) Se LaQab Paane Wale Bane , Yani ALLAH Ki Talwaro Mese Ek Talwar, Sahabi E Rasool, Aur Aashiq E Rasool Ban Gaye.

●------ Wo Wahshi Kon Hain...., Nabi (SAW) Ke LaadLe ChaCha Ke Sifaak Qatil....Aur Inki Lash ka Masla karnewali HINDA KON THI...., Nabi (SAW) Ke Piyare ChaCha Syyedush Shuhada AMEER E HAMZA ke Kaleje ko Nikal kar Kachcha Chabane Wali.

●------ Wo Duniya k Sabse Bade Firoun Abu Jahal ke Bete Ikrama Kon The...., Jinki Gutthi me Islam Aur Paighambar E Islam Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dushmani Bhari Huwi Thi.....

In Mese Har Ek, Aur Doosre Dushmanaan E Islam Mese Har Aik Ka Ye Haal Tha Ke Dil o Dimag Tak DA'WAT ILALLAH ki Aik Khuraak Inko Pahonchi, Aur Inko Dushmanan E Islam ke Awwal Saf Ke Marizon se Nikal Kar Sahabi E Rasool, Islam Aur Da'wat e Islam ke Alam Bardaron Balke Sardaron Ki Saf e Awwal me La Khada Kar Diya,..... Aur Inko DA'EE ILALLAH, Na Jaane Aise kitne Marizon ka Doctor, Aur Islam Aur Paighambar E Islam Ka Jaa-Nisaar Bana Diya,..

Dushmani Ko Dosti Me Badalne Ki Ye Ta'seer 1400 Saal Se Aaaj Tak DA'WAT ILALLAH Ke Is NUSKHA E AKSEER Me Apne Aakhri Darje Ki ASAR E AAFRINI Ke Saath Moujood Hai,

MAGAR AFSOS...! Ke Hum Musalman Jinko Qur'an Majid Jaisi Mujarrab Tareen Haqeeqi Doctor ki Kitab Aur Duniya ke Har Marz ki Dawa De kar Doctor Bana Kar Bheja Gaya Tha,.... Is Haqeeqi Kitab ko Chord kar Duniya ki Atkalo me Kho Gaye Aur Khud Duniya ka Ilaaj karne ke Bajaye Mareez e Mahaz Ban Kar Baith Gaye, Aur Duniya Khud Hamare Is Qur'ani ZAUQ ki Doori ki Wajah Se Dar Dar ki Thokare Khaati Rahi,... Baqol e Sha'er:

TANG SI GALIYON ME DUNIYA THOKARE KHAATI RAHI
WUS'ATON KA AASMAAn JUZDAAN ME LIPTA RAHA

★•.•´¯`•.•★★•.•´¯`•.•★★•.•´¯`•.•★

MUSALMANO KI MOJUDA PASTI KA ILAAJ

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolil kareem. Amma baad

Dear Brothers/sisters,

Assalamualaikum

Musalmano ki History utha kar dekhe to har tarah ki Izzat aur daulate aur Hukumate Musalmano ke paas rahi hain.

Musalmaan izzat aur hukumat ke waaris aur logo ki nazar me pasandida rahe hain. Aaj bhi hamare buzurgo ke mazaro per Musalmano se zyada gair- muslimo ki bheed dekhi ja sakti hai. To phir aakhir aisi kya wajah hui jiski tahat aaj Musalmaan aisi buri halat aur pasti me ghira hua hai?

Har tarah ki zillat, mohtaaji, garibi, gandgi, jahalat,bad-akhlaqi, be-hayai, fahashi, musalmaano ke ilaaqo aur bastiyon me dekhi ja sakti hain. Aisa kyo ho gaya?

Jis qaum ne logo ko jeene ka tariqa sikhaya wo aaj khud mohtajo ki zindgi guzar rahi hai.

Dosto iski sirf ek hi wajah hai ki humne apne Rab ka hukum man-nna chhod diya.
Hamare Rab ne is Ummat ki tareef paise, Daulat aur hukumat ki wajah se nahi kari thi balki hamare Rab ne kaha tha ki"

"TUM BEHTARIN UMMAT HO JO LOGO KE LIYE PAIDA KI GAYI HAI. TUM ACHCHE KAAMO KA HUKUM KARTE HO AUR BURAI SE ROKTE HO"

Sura Aale Imran: 110

Is aayat per agar gaur kare to wajah sirf aur sirf ye nikalti hai ki humne DAWAT KA azeemushan kaam karna chhod diya aur apne Rab ke hukum ko tod diya jiski wajah se aaj hum museebato me giraftar hain.

1. Dwat dena ALLAH ka hukum hai.
2. Dawat dena har NABI KI SUNNAT hai
3. Daaee ko har ek bol per 1 saal ki Ibadat ka sawab milta hai
4. ALLAH itni madad kisi ki nahi karte jitni madad DAAEE ki karte hain.
5. Dawat ka ek bada faayda ye hai ki kisi aur ko hidayat mile na mile DAAEE ko hidayat zaroor milegi.
6. DAAEE ke badan per ALLAH ke raste me jis jagah dhool aur mitti lag jaaye wahan Dozakh ki aag to kya wahan ka dhuan bhi haram hai.
7. DAAEE jab ALLAH ke raste me zikr karta hai to use 70 guna zyada sawaab milta hai.
8. DAAEE ke bare me ALLAH farmate hain ki
"YAHI LOG HAIN JO FALAH PAANE WALE HAIN"

Sura ale Imraan: 104

Mere bhaiyo ye to sirf DAAE ke sirf thode se fayde hain, inka poori taur per shumar karna na-mumkin hai. Hume sochna chaiye ki humne aaj deen ke liye kya kiya.

IS BAAT KO APNE UPAR ZAROORI KAR LE KI HAR ROZ HUM THODI HI SAHI LEKIN DEEN KI MEHNAT ZAROOR KARE.
ALLAH TOFIQ DE AAMEEN..!!

Hum doosron ki Hidayat ki Fikar karen:

Humare zimme ye kiya gaya ke hum doosron ki Hidayat ki Fikar karen, in tak HAQ KA PAIGHAM PAHONCHAYE, Allah ne hume UMMAT E DAWAT banaya to ab humari zimmedari hoti hai ke hum Allah ke hukm ke khilaf na kare aur HAQ KI DAWAT doosron tak pahonchaye aur Musalmano ne is kaam ko kam o besh tariqe se anjam diya, jahan inhone is kaam ko anjaam nahi diya wahan Aakhir me inko musibatein pesh aayi, Allah ki Rahmat inse door hogayi, aur Allah ki Rahmat iske sath rehti hai jo Allah ki baat maane, aur jo Allah ki baat na maane to Allah is se NaRaaz hota hai, tou Rahmat kaise bhejega.?

Hum Log Shikwa Shikayat karte hain Masaaib ki, Aafaat ki, Pareshaniyo ki, Lekin ye nahi dekhte ke Pareshaniyan hume kyu Laahiq hain.?

Asal baat yahi hai ke Allah ki Nazar har waqt is Aalam par aur saari makhluqat par hai, har cheez ko wo jaan raha hai, dekh raha hai aur isi hisaab se wo muamla bhi karta hai, agar dekhta hai ke mukhlis hai, Allah ke hukm par chalnewala hai Tou Rahmat karta hai aur agar iske khilaf hota hai Tou Apni Rahmat ko Rok Leta hai Aur Allah Ta'ala Rahmat ko Rok Lein To phir duniya me koi Rahmat Laa nahi sakta, jo kuch Humko mila hai, insano ko mila hai, sab Allah ka diya huwa hai, Allah Ta'ala agar NaRaaz hojaye to woh cheez ruk jayegi, Zahir hai ke woh cheez Allah ke Ta'abe hain, Allah jaisa chahega waisa hoga.

Hum Khair e Ummat Hain:

Hum ko Sochna chahiye ke hum khair e ummat hai, ummat e dawat hain, hum isko kahan tak anjam de rahe hain.? Aur isko anjam dene me hum kotahi karenge to humko pareshaniyan Laahaq hogi, Musalmano ke baaz Mulk inke hathon se nikal gaye is liye ke inhone is kaam me kotahi ki, DA'IE E UMMAT NAHI BANE, hum da'ie e ummat banjaye to phir sab log Haq ko Qubool kar lenge, siwaye chand aadmiyo ke. Chand aise ho sakte hain BadBakht ke jinko Hidayat hasil na ho, Lekin jab Hidayat saamne aati hai to koi bhi Ma'aqool insan is se inkar nahi kar sakta, Allah ne Aysa Deen banaya hai aur Aysa Aqidah ataa farmaya hai ke koi bhi Sahih Ad Dimagh Aadmi isko jaan Le to isko ikhtiyar karne par majboor hota hai.
HAQ BAAT PAHONCHANE ME KOTAHI:
Sahaba e Kiram Rizwanullahil alaihim ajmaeen ke Halaat me dekhein ke sakht dushman bankar aaye aur Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) se jo kuch suna to fouran inho ne Islam Qubool kar liya, to kotahi dar'asal humari hai, Allah ka Paigham logon tak nahi pahonch raha hai, jis mulk me ye kotahi huyi wahan Musalmano ko bura natija dekhna pada, is Mulk(India) me humari zimmedari hai ke hum HAQ BAAT in logon tak pahonchaye jinko maloom nahi hai. Aur Allah Ta'ala ki Nafarmani se bachein,

2 Chizen hume Laazmi karni padegi ke hum doosron tak Haq Baat ko pahonchaye aur ye ke hum Nafarmani se bachein, hum ye karenge to Allah ki Rahmatein aayegi aur humare oupar jo musibatein aarahi hogi door ho jayegi, iski mislaale hain, Lekin agar hum isme kotahi karenge to Rahmaton ke milne ka mas'ala phir nahi rah jata, humara sabse bada mas'ala yahi hai ke Musalmano ki Aksariyat Ghaflat me mubtala hai, HAQ ka PAIGHAM pahonchane me aur ALLAH KI NAFARMANI se bachne me, bahot thode log hain jo Allah ki Nafarmani se bachte hain aur Haq ki Dawat pahonchane ka ahtemam karte hain, in hi ki wajah se muamla tika huwa hai aur ye Qaaim rahega to Insha Allah tika rahega, Lekin Masa'il aate rahenge, kyun ke aksar log is muamle me bahot ghaflat se kaam le rahe hain, to hum mese har shakhs par Farz hai ke in 2 baaton ka khayal rakhe ke jahan Haq baat pahoncha sakta ho wahan pahonchaye,

Aur Haq baat pahonchane ke liye Allah Ta'ala ne ye farma diya hai ke isko Samajhdari ke sath Hikmat ke sath karo, "Ud' ou' ilaa sabili rabbika bil hikmati wal mau-iezat-il-hasanah"

ye nahi ke aysi baat kehdo jis se aur kharabi paida hojaye, bahot khair khuwahi ke sath, hamdardi ke sath aur ma'qool hikmat ke sath Haq ki baat pahoncha de,
Aur is baat ka bhi jayeza leta rahe ke humse koi aysa amal to nahi ho raha hai ke jis se Allah ki NaRaazi ho, is liye ke hamara Faida aur Nuqsan hai, ALLAH Ta'ala ka koi Faida aur Nuqsan nahi hai, agar saari makhlooq Kafir ho jaye koi bhi Momin na rahe to bhi Allah Ta'ala ka koi Nuqsan nahi, Aur sab Musalman ho jaye koi kafir na rahe to bhi Allah ka koi Faida nahi, Allah Ta'ala is se buland hai, Isne to hamare Faide hi ke liye kaha hai ke tum agar Sahih Raaste par chaloge to Hum tumhe Aakhirat me Nihaal kar denge aur aysi Ne'amatein ataa karenge ke woh kabhi khatam na hogi aur agar nahi karoge to wahan Mehroom rahoge,

To hume apne Halaat durust karne ke liye aur Aafiyat wa Salamati ke liye in 2 chizon ka ahtemam karna zaruri hai, jab iska ahtemam karenge to dekhenge ke Allah Ta'ala Aafiyat aur Salamati ataa farmayega aur khair se Nawazega aur agar hum Haq baat pahonchane ki koshish karenge to Allah Ta'ala hum se khush hoga aur mazeed ataa farmayega.

DEEN KI DAWAT DENA FARZ HAI..

ALLAH Subhanawataala, QURAN me farmate hain ki, Aur ALLAH k (deen k) liye mehnat kiya karo jaisa mehnat karne ka haq hai. Usne (deen ki mehnat k liye) tumko chun liya hai.
SURA HAJ:78

is se maloom chala ki ALLAH ne DEEN ki dawat dene ko hamare upar FARZ kiya hai.

Doosri jagah ALLAH farmate hain

"Aap kah dijiye mera rasta to yahi hai ki main poori baseerat ke saath ALLAH ki taraf daawat deta rahu or jo meri pairvi karte hain wo bhi"
SURA YUSUF:108

yahan bhi ALLAH ne daawat dena ko ahamtarin bataya.

Aur teesri jagah ALLAH farmate hain "Kasam hai zamane ki, Insan bade nuksan me hai, magar wo (nahi) jo iman laye aur nek amal kiye aur haq (ki dawat di) aur sabr ki taqeed kari.
SURA ASR:1-3

ISLAM, JAMAAT KE SAATH HAI......!!!

Dear Brothers and Sisters,

Assalamualaikum..!!

ALLAH ke nabi Huzur Mohd. (saw) ne farmaya" ISLAM, Jamaat ke saath hai aur Jamaat, Ameer ke saath hai."

Is hadees ka mafhoom ye hai ki ISLAM yani deen-e-haq to istamaiyat ka aur judao ka aur ek ho jaane ka deen hai. Agar iske andar se Jamaat ko nikal diya to ye sirf afraad rah jaenge jo ki Shaitaan aur duniyawi burai me phas kar tabaah ho jaenge. Jaisa ki aaj kal hume aam taur per dekhne ko mil raha hai.

Aisi Istamaiyat aur Judao agar aaj dekhne ko Milti hai to sirf TABLEEGHI JAMAAT ke andar dekhne ko milti hai.

Jab kabhi bhi kisi Jamaat ko kaam ke liye bheja jata hai to logo ko hidayat kar di jaati hai ki AMEER ki baat maane aur AMEER ko hidayat kar di jaati hai ki koi kaam bina apne saathiyon ke mashwire ke na kiya jae. Agar khana banaya ja raha hai to uska Ameer alag banaya jaata hai, Gasht kari ja rahi hai to uska Ameer alag,

Darmiyani baat ka alag, Mulakaton ka alag. Har ek kaam itne acche intezaam ke saath hota hai ki aqal hairan rah jaati hai.

Wo log jo ghar me apne Maa- Baap ki nahi mante, Jamaat ke andar aa kar Ameer ki har baat sunte hai aur mante hain. Na jaane kitno ki zindigiyaan sudhar gayi hain.
Mere bhaiyo ALLAH Subhana-wa-taala ka irshad hai ki " Ae Imaan walo! ALLAH Se Daro Aur Unke Saath Hojao , Jo Sachche Hain ( Apne Kahne Aur Karne Dono Me ) ."

[ Q u r a n : Surah Tawbah 9:119 ]

Meri aap sab se darkhwaast hai ki Tableeghi Jamaat ka zaroor saath de.
Dosto aapas me jud jao, ladai band karo, jalan aur hasad se bacho...........

Khuda ke waaste ye Imtihaan ka waqt hai. Is waqt me jhagde-fasaad se hal nahi niklega. Aapas me jud jao....

Ek dusre ka saath do....

Ek dusre ki kamiyan nikalna band karo....
ALLAH se tauba karo....

ALLAH ki zaat se ummed hai ki wo hume bakhsh dega aur hamare halaat ko badal dega.

ALLAH mujhe aur aap sab ko taufeeq de... AMEEN.!
jazaakAllah khair
_________________ ______________ _______________
:
JIHAD KA BAYAN:

KHAAS JIHAD KA MATLAB HAI KUFFAR AUR LADNE WALON KE SAATH JUNG FARZ KIYA GAYA HAI, KUCH LOG YE FARZ ANJAM DE RAHE HON TO BAKI LOGON SE POORA HO JAATA HAI ISLIYE KI ALLAH KA FARMAN HAI

"AUR YAH MUNASIB NAHI KI SAARE MUSALMAN NIKAL PADE, AISA KYON NA KIYA JAAYE KI HAR QAUM ME SE KUCH AADMINIKLEN AUR DEEN KI SAMJH HAASIL KAREN AUR JAB APNI QAUM ME AAYE TO UNKO DARAAYE TAAKI WO BURE KAAMO SE BACHTE RAHEN"

ALBATTA JIN LOGON KO IMAM MAAN KARKE JIHAD KA HUQM DE UNKE HAQ ME FARZ-E-AIN HAI

RASOOLLULLAH KA IRSHAD HAI:

"AUR JAB TUMHE JIHAD KE LIYE NIKALNE KE LIYE KAHA JAAYE TO NIKLO (BUKHARI,MUSLIM)

ISI TARAH AGAR DUSHMAN KA KISI SHAHER PAR HAMLA HO JAAYE TO US SHAHER KE SAB BASHINDON AURTON SAMET SAB PAR SURAKSHA AUR LADAI FARZ HO JAATI HAI

2- JIHAD KI QISME:

2.1 KUFFAR AUR LADAI KARNE WALON KE SAATH, HAATH, MAAL,ZABAAN AUR DIL KE SAATH HOTA HAI, IS LIYE KI NABI KA FARMAAN HAI:

" MUSHKIREEN KE SAATH APNE MAALO, JAANO AUR ZABAANO KE SAATH JIHAD KARO"

(AHMAD,ABU DAWOOD,NISAI)

2.2 ALLAH AUR USKE RASOOL KO NA MANNE WALON KE SAATH JIHAD BHI, JABAAN AUR DIL KE SAATH HOTA HAI,AAP KA FARMAAN HAI:

" TUM ME SE JO KOI BURA KAAM DEKHE TO USE AGNE HAATH SE ROKE AGAR ISKI TAKAT NAHI HAI TO ZABAAN SE ROKE ,AGARISKI BHI TAQAT NAHI HAI TO DIL SE HI BURA JAANE AUR YE KAMZOR TAREEN IMAAN KA DARJA HAI"

2.3 SHAITAAN KE SAATH JIHAD YE HAI KI USKE INSAAN KE DIL ME PAIDA KIYE GAYE WASOOSE(IKHTELAAF) KO KHATM KAR DE AUR USKE SAJAY HUE KAAMO KO TARK KAR DE IS LIYE KI ALLAH TAALA KA FARMAN HAI

"SHAITAN TUMHARA DUSHMAN HAI ISE APNA DUSHMAN SAMJHO"

2.4 NAFS KE SAATH JIHAD YE HAI KI INSAAN APNE NAFS KO DEENI KAAMO KI TALEEM AUR AMAL PAR LAGAAYE AUR NAFSAANI ZARURATON SE DOOR RAHNE AURNAFS KI BURAIYON SE DOOR RAHE AUR BACHNE KI KOSHISH KARE
AUR YEH JIHAD KI QISMON ME SABSE BADI HAI

3-JIHAD KI HIKMAT

JIHAD KI SAARI KISMON ME YAH HAIKMAT POSHIDA HAI KI EK ALLAH KI IBADAT KI JAYE AUR ZULM AUR BURAIYON KO MITAAYA JAAYE,JAANON AUR MAALON KI SURAKSHA KI JAAYE , SACH(TRUTH) WA INSAAF KA BOLBAALA HO AUR KHAIRAT WA SAWAAB KEKAAM PHAILEN,

ALLAH TAALA FARMATE HAI:

"AUR UNSE LADTE RAHO YAHAN TAK KI BURAI AUR BIGAAD NA RAHE AUR INSAAF WA ALLAH KI FARMABARDARI HO"
TO BE CONTINUED....

DAHSHAT GARDI KE KHATME KA WAAHID RASTA

Zulm o Sitm ke Khatme Ka Waahid Rasta. (read it carefully)

Ek Zamana tha jab MUJAHIDEEN E ISLAM ki TALWARO ki JHANKAR se Zameen ke Khudao par Kapkapi Tari thi aur unke Fatihana Aqdamat ke Samne Dunya ki badi se badi Taqat bhi Rukawat khadi nahi kar sakti thi; Us Waqt ke SUPER POWER ROME O IRAN ka Qila Fateh horaha tha aur ISLAMI saltanat ka daira Wasee se Wasee tar hota jaraha tha, Un BeMisaal Futuhaat ko kabhi kisi MUARRIKH ne KHOON REZI or DAHSHAT GARDI ki taleem ka natija qarar nahi dya.

TAREEKH GAWAH hai k HAQ KE ALAM BARDARO ki Us Jamat ka QADM jis Zameen par pada, Wahan se ZULM O ZIYADTI ka KHATMA hua aur AMAN O SUKOON ki aisi FIZA qayam hui ke log MUJAHIDEEN E ISLAM ke AQDAMAT se MUTASIR ho kar JAUQ DAR JAUQ HALQAE ISLAM me DAKHIL hone lage.

Ab jab ke Islam ke Urooj ka AFTAB dhal chuka hai, Islam pasando ki TALWAREN ZANG ALOOD ho chuki hai aur JIHAD ki FARZIAT NAYE NAYE HEELON ki Shikar hai; maghribi Aqwaam ki janib se islam par ye Bohtan e Azeem lagaya jaraha hai k Iska Nazarye JIHAD SHIDDAT pasandi aur DAHSHAT GARDI par mabni hai.

Almiya to ye hai k s tarah ke be bunyad AETRAZAAT ki paidaish un AQWAAM ki jaanib se Ho rahi hai jin ka DAMAN MAZLOOMO ke KHOON se SURKH hai, jinki DAHSHAT GARDI se aj Puri DUNYA MUTASIR hai, Jinke Nazdeek INSANI HUQOOQ ki Koi Qadr o Qeemat nahi hai.

Ye Yaad Rakhen DUNYA me AMAN lana hi Jihad ka Maqsad hai.

Jihad FITNA O FASAD Ko Khatm karne ka Naam hai, DAHSHAT GARDI KO MITANE KA NAAM JIHAD HAI,

ALLAH KI ZAMEEN KO ZULM O SITAM , FITNA O FASAAD, SHIRK O KUFR Se Paak karne ka Naam Jihad hai.

Aaj hum khud JIHAD ki aslyat Bhool gaye hai. Bhaiyo TAREEKH padho.


Home | Noaman.Wapka.Me

SHAYAD KE TERE DIL ME UTAR JAYE MERI BAAT

Bismillahir Rahman Nirrahim

Aaj ki tareekh me, har 24 ghante me 1 Lakh 54 hazar, Rabb-e-Kareem ke sachche Kalam ke bataye huwe rishte ke mutabik hamare khooni rishte ke BHAI BAHEN:"

Aye Logo! Humne Tum sab ko ek hi Mard o Aurat se paida kiya, aur Kunbe aur Qabile bana diye taake tum ek doosre ko pehchano." [ Surah Hujrat : 13 ]

Ya'ni Soutele BHAI BAHEN nahi, Maa related, Baap related, khooni rishte ke Haqiqi bahen bhai, aur humare Nabi ke Ummati:"

Aap keh dijiye, Aye Logo! Main tum sab ki taraf ALLAH ka Rasool hoon". [ Surah A'raaf : 158 ]

Aur Humare Rabb ke Bande, Baqol Farman e Rasool:"

Aye Logo! Tumhara Baap ek hai aur Tumhara Rabb ek hai."

Kufr aur Shirk ki mout mar kar hamesha ki Dozakh ki Dard-Naak AAG me hamesha ke liye chale jate hain, is AAG me jo kabhi bujhegi nahi, kam bhi nahi hogi, jiski garmi har aan bardhte jayegi:"

Tum apne kiye ka mazah chakkho, Hum tumhra azaab bardhate rahenge." [ Surah Anbiya : 30 ]

Aur humare mulk India me to yahi se zahiri tourpar Chitta me jala diye jate hain, har second me takriban 2, ek line is Article ki likhi gayi ya padhi gayi, itni der me 10 Log Dozakh ki Aag me jhulas gaye aur hamesha ke liye. Mout bhi inko na aayegi ke mout ke baad saza ka khatma ho jayega.

Almiya ye hai ke Khaire Ummat ke afraad hum ko, ALLAH ne Nabi Rahmatul LiL Aalameen ki khatme Nubuwwat ke Sadqe me, in logon ko Aag se bachane ki zimmedari Mansabi ke taur par di thi, Goya hum log Fire Brigade Staff ke log hain, jin ko khatme Nubuwwat ke baad barpa hi ALLAH k bando ki khair khuwahi aur in ko DOZAKH KI RAAH se bachane ke liye kiya gaya hai,

Fire Brigade ke Center ke saamne sirf ek Admi apni CAR ke Accident me Aag lagne se jal jaye, ya ek Gaadi me kuch afraad jal jaye, aur abhi mare bhi nahi, Hospital me hain, to pure mulk me Ha- Ha Kar Mach jayega, Agar Fire Brigade Police ke log saamne rehte huwe apne khane sone me mast rahe, aur is Aag ko bujhane ki koshish bhi na kare...to ayse Police walon ke liye har saza baja hogi...,

1 Lakh 54 Hazar Log, har din o raat me Kufr o Shirk par mar kar hamesha ki Dozakh ka Eindhan (fuel) ban kar is HaadSeh (Accident) se dochar ho jate hain, jis se bada koi HaadSah nahi, Aur ye Haqeer bahot survey aur tahqeeq ke baad badi zimmedari se ye baat arz kar raha hai ke Aaj ki tareekh me Kufr o Shirk par marne walon me 1 Lakh 54 Hazar me se, ek ke kaan me bhi hum ye baat kisi bhi zariye se nahi pahonchayi ke:"

QOOLU LAA ILAHA ILL-ALLAH TUFLIHOON""

LAA ILAHA ILL-ALLAH KEH LO KAMYAAB HO JAOGE"

Apne gird Area me base Gair-Muslim Bhai Baheno se maloom kare to andaza hoga, in me se kisi ne Khuwab me bhi nahi dekha hoga ke ISLAM KE BAGAIR NAJAAT NAHI, ya Musalmano ka kaam DA'AWAT hai, aur Musalman ye kehte hain ke Kalma padhe bagair hamesha ki Dozakh se Najaat Na-Mumkin hai,

Wo to saari Butt Parasti aur Shirk, aur apne Devi Devtao ke naam par aziyat- naak Qurbaniya, aur mujahide 100% yaqeen ke saath karte hain ke hum Najaat ki Raah par hain, Is liye wo lambi Umr me marne walo ki wafat par Gaje-Baje, Dhol-Dhapal aur Taqribat manate hain, ke Haq mazhab par itni lambi muddat rahe, ab iska badla diya jaye..

AUR IS PAR BHI HUM YE SAMAJH BAITHE HAIN KE HAQ PAHONCH GAYA HAI AUR HUM KEHTE HAIN KE SAB KO MALUM HAI KE HAQ KYA HAI ?

JAAN BOOJH KAR WOH RAAH SE HATEY HUWE HAIN.

Is Haqeer ne ek do muqam par apne Buzurg Hazrat Mufti Saeed Ahmad Palanpuri Shaikhul Hadees Darul Uloom Deoband ke hawale se arz kiya, jise Hazrat ne kayi baar Hadees-e Jibraeel ke Sabaq me farmaya: ke Arkaan-e Islam me pehla Rukn, Shahadat"LAA ILAHA ILL-ALLAH, MUHAMMADUR RASOOL ALLAH"hai, ye Gair Muslimo me Islam ki Da'awat hai,
Is liye khudara har aan kufr o Shirk par marne walo aur ja-baja Chitta me jalayi jane wali in arthiyo par taras khaye ke ye to gaye, ab zinda rehne wala to IS AZEEM HAADSEY SE BACH JAYE."

Agar tum na manoge to ALLAH tumhari jagah doosri Qaum Le aayega jo tum jaise na hoge". [ Surah Muhammad : 38 ]

Ghair Muslimo ko Islam ki Dawat dena aham tareen Fariza hai,

Islam ke arkaan me pehla rukn Tauheed aur Risaalat Muhammadi ki gawahi dena hai, aur gawahi munkir ke saamne di jati hai, aur Azaan me agar che 5 waqt ye gawahi di jati hai, Gair Muslim sunte bhi hain, magar isko samajhta koun hai, pas wo Dawat Na kaafi hai, Surah Ibrahim me irshad Pak hai:
"Aur Nahi bheja Humne koi Rasool magar iski Qaum ki Zuban me, Ta ke wo inke samne Deen ko khol kar bayan kare, phir jisko ALLAH Ta'ala chahe gumrah karte hain, aur jisko chahe Hidayat deta hai aur wahi Ghalib Hikmat waala hai."

is Aayat me iski ahmiyat wazeh hoti hai ke har Qaum ko iski zuban me Dawat di jati hai tabhi Dawat ka faidah saamne aayega.
Is waqt bade afsos ki baat ye hai ke is Farize ki taraf se umoomi gaflat paayi jati hai.

>Mufti Saeed Ahmad Palanpuri DB. Shaikhul Hadees Darul Uloom Deoband

Assalamu Alaikum...

kya aap jaante hain?

India me 80% Gair Muslim hai aur 20% Muslim.

20% Muslim ka haal dekhiye:

20% Muslim mese 12% Muslim wo hai jo bilkul hi BeDeen hai, yani Kalma Namaz...Shariat aur Sunnat se ghafil hain....

Ab 20% Muslim mese 12% ko nikaal do to 8% bachte hain.

8% Muslim mese 5% Muslim wo hai jo Deendar kehlate haint, magar mamool waale hain yani jinhe sirf apni Deendari, Karobaar aur ghar ghirasti se hi matlab hai aur yehi inka daily mamool hai. inki Deendari inhi tak mehdood hai.

Aur 8% mese 3% Muslim wo hai, jo Aalim, Hafiz, Ulama aur Da'ee hazraat hai jo apni Deendari ke sath sath doosro tak Deen ko pohnchane ki mehnat bhi kar rahe hain...
Khulasa:

80% Gair Muslim ke sath sath 12% Muslim (jo Deen se door hai) in tak Deen ko pohnchana hai...

Yaani kul 92% tak Islam ki Da'wat ko pohnchana hai...

Kya sirf 3% Muslim 92% tak Dawat pohnchane ke liye kaafi hain???

percentage nikala jaye to sirf 0.5% tak hi Da'wat pohonch rahi hain...

ALLAH TA'ALA IS BAAT KI AHEMIYAT aur ZAROORAT KO SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE...Ameen

Kya Aap ye bhi jaante hain???

Deen ki jo mehnat ho rahi hai wo 99.9% Sirf 20% Musalmano par ho rahi hai...

Jaise Tablighi Jamat, Madaris, Khanqah, Makatib, Tasnif Taleef, Islahe muashra par jalse, darse Quran, etc...etc.

Sirf 20% Musalmano par itna kaam ho rah hai Aur Gair Muslim 80% hone par in par 0% mehnat...?????

Hum ye tasawwur kare k saare k saare Log Jahannam k gardhe k kinare khade hain, hume inhe Jahannam me girne se bachana hai, agar humne inhe nahi bachaya to wo hamesha k liye Jahannam me gir jayenge...

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam k Dil me Mushrikeen ko Jahannam se bachane ki itni tadap thi, k ALLAH Ta'ala ko Qur'an me 128 muqaam par Apne Nabi Ko Tasalli deni padi... Seerat ki kitabo me likha hai k Aap (SAW) sirf Abu Jahal k paas 300 se zyada martaba Dawat e Islam dene tashrif Le gaye the..Allahu Akbar

Aaj Duniya ki 5 Arab se zyada ki aabadi (5000000000+) JAHANNAM k dahaane par khadi hai...

Aur Rozana 24 Ghante me takriban 1 Lakh 54 Hazar (154000+) Log Imaan k bagair mar kar hamesha k liye Jahannam me chale jate hain...

ISLAM KISKE LIYE HAI

Bismillaahir Rahmaan Nirraheem

● ISLAM kis ke liye Hai..?"

Beshak ALLAH Ta'ala ke Nazdeek Deen Islam hi hai" [Quran 3:19 ]

Islam wahi Deen hai jis ki Da'wat o Taleem har Paighambar apne apne daur me dete rahe hain aur ab iski kaamil tareen shakl wo hai jise Nabi Akhiruz Zaman Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne Duniya ke saamne pesh kiya, jisme Tauheed wa Risaalat aur Aakhirat par is tarah Yaqeen o Imaan rakhna jis tarah Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne batlaya hai.

Ab mahez ye Aqidah rakh lena ke ALLAH ek hai ya kuch achche amal kar lena, ye Islam nahi na is se Najat Akhirat hi milegi.
Imaan wa Islam aur Deen ye hai ke ALLAH ko Ek Mana jaye aur sirf isi Ek Ma'bood ki ibadat ki jaye, Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam samet tamam Ambiya par imaan laya jaye. Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat par Risaalat ka khatma tasleem kiya jaye.

Aur Imaaniyat ke sath sath woh Aqaid o Aamaal ikhtiyar kiye jaye jo Quran e Kareem me ya Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam me bayaan kiye gaye hain.
Ab is Deen Islam ke Siwa koi aur Deen indallah Qubool nahi hoga."

Aur jo Islam ke siwa koi aur Deen talash kare to is se hargiz Qubool nahi kiya jayega aur wo Aakhirat me Nuqsan paane walo me hoga." [Quran.3:85 ]

● MA'ABOOD (jis ki ibadat ki jaye )sirf ek hi hai..:"

(To Jaan Lo ke) Hamara aur Tumhara Ma'bood Ek hi hai aur hum isi ki baat par chalne wale hain." [Quran 29:46 ]

● Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Risaalat puri Insaaniyat ke liye hai..:"

Keh dijiye! Aye Logo! Main tum sab ki taraf ALLAH ka Rasool hoon." [Quran 7:158 ]

● QUR'AN kis ke liye hai..?"

Barkaton Wali Hai Woh Zaat (ALLAH) jisne apne bando par Furqan Nazil kiya taa ke wo jahaano ka daraane wala ho." [Quran 25:1]"

Maahe Ramzan wo hai jis me Qur'an utara gaya jo Logon ko Hidayat karne wala aur jis me Hidayat ki aur Haq wa Batil ki tameez ki nishaniyan hain." [Quran 2:185 ]

● ALLAH Ta'ala ne Insaano aur Jinnat ko kyun paida kiya..?"

Maine Jinnat aur Insaano ko mahez isi liye paida kiya ke woh sirf Meri ibadat kare." [Quran 51:56]"

Aye Logo! Apne is Rabb ki ibadat karo jisne tumhe aur tumse pehle ke logon ko paida kiya, yahi tumhara bachaao hai." [Quran 2:21]

● Aur Musalman Ummat ki paidaish ka maqsad kiya hai..?"

Tum Bahtreen Ummat ho jo Logon ke liye paida ki gayi hai ke tum Nek Baaton ka Hukm karte ho aur Buri Baaton se Rokte ho aur ALLAH Ta'ala par Imaan rakhte ho." [Quran 3:110]

● Aur Hadees me hai, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmay:"

Qasam hai is zaat ki jis ke hath me Meri Jaan hai, jo Yahoodi ya Nasraani (ya Majoosi) mujh par imaan laaye bagair mar fout ho gaya, wo Jahannami hai." [Sahih Muslim]

mazeed farmaya: Main Ahmar aur Aswad (yani tamam insaano ke kiye) Nabi bana kar bheja gaya hoon.

Isi liye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne waqt ke tamam Salateen aur Baadshaahon ko Khatoot tehreer farmaye jin me ISLAM QUBOOL KARNE KI DA'WAT DI. [Sahiheen - Bahawala ibne kaseer ]

● Pata chala ke ISLAAM, TAUHEED, RISAALAT, QURAN, IBADAT aur Ye UMMAT tamam Logon ke liye hain, aur in baaton ko tamam insaano tak pahonchana is Ummat ke zimme FARZ E AIN hai.

Wa Lillaahil Hamd

>> Books for Download on Islamic Dawah and Tabligh

>> Hindi Books 4 Dawah

Wednesday 3 July 2013

GHAIR–MUQALLID FIRQON KE NAAM KI HAQEEQAT


GHAIR–MUQALLID FIRQON KE NAAM KI HAQEEQAT:


Hindustan ki Taareekh me Angrezon ke Daur se pehle Ahl-e-Qur'an wa Ahl-e- Hadees, ye dono Alfaz Ahl-e-Sunnat Wal Jama't (Hanafi, Shaafa’I, Hanbali, Maaliki) ke 2 Ilmi Tibqon par istemal hotey the.. Aur Aaj bhi yehi Alfaaz hote hain.

1. Ahl-e-Qur'an: se asal muraad Huffaaz wa Mufassireen ki Jama’t hai. 


2. Ahl-e-Hadees: se asal muraad Hazraate Muhaddiseen ki Jama’t hai. 


Aur waqt ke sath Ye dono Alfaaz Qur’an wa Ahaadees ka Dars dene walon ke liye iste’mal hone lagey. Ya’ni Un Hazraat ke liye iste’maal hone lagey Jo Qur’an wa Ahaadees ke HAAFIZ hain aur inka DARS dete hain. Har Aam Aadmi ke liye ye Lafz iste’maal nahi hote the.

Aur Aaj ka Firqa-e-Jadeed Naam Nihaad Ahl-e-Hadees, Haqeeqi Ahl-e- Hadees Nahi hain. Na to inka Rishta kisi Muhaddis se judta hai Na ye Ahaadees ke Haafiz hain. Haqeeqat to Ye hai ke Is firqa-e-Jadeed Naam Nihaad Ahl-e-Hadees ke maanne wale log to Tark-e-Taqleed (Taqleed ko chhor) kar ke Apne Aap ko Naam Nihaad Ahle-Hadees se Jod liya hai.

(Aap logon ko Aksar ye sunne me aata hoga ke Ghair-Muqallid kehta hai ke Main bhi Pehle Hanafi tha, Ab TAQLEED chhor kar Ahl-e-Hadees ban gaya hu waghera).
Aur phir logon me SHOR machaate hain ke Ye to HAQEEQI Ahl-e- Hadees hain Chaahe Usey Qur’an ya Hadees ka ek Lafz bhi padhna na aata ho (Anpadh hone ki wajah se).

Inke haan! Shart bas yehi hai ke bas TAQLEED chhoro aur (Naam Nihaad) MUHADDIS ban jao aur Ulema’-e-Deen ko JAHANNAMI kaho.

Phir Ahl-e- Qur'an, Jama'tul Muslimeen ke log bhi hain. Aur aise bohat saare Ghair-Muqallid firqe’ hain Jo Apne Naam ka iste’maal kar ke Logon ko Gumraah karne ki Saazishein rachte hain.

3. Jama'tul Muslimeen: se asal muraad Musalmano ki jama't hai Jisme har Kalimah go shamil hai. 


Jab Angrezon ka daur Hindustan me aaya tab yun hua ke.. Jo La-Mazhab Munkareen-e-Hadees the Unko Ahl-e-Qur'an kaha jaane laga aur Jo La-Mazhab, Munkareen-e-Fiqh aur NAFS-PARAST the, Unko Ahl-e-Hadees kaha jaane laga jabke Asal me toh inka amal Ahl-e-Hadis Nafsi ka hai kyonke Ye NAFS ke mutabiq wali Ahaadees per amal karte hain aur NAFS ke khilaf wali Ahaadees ko SHAHEED karte hain.

Aur Jama’tul Muslimeen, Ghurba’ Ahl-e- Hadees ek aur ghair-Muqallid firqe’ se pada hua ek firqa’ hai Jo Khud ko Muslim samajhta hai aur baqyon ko Ghair-Muslim.

1. Ahl-e-Qur'an: Ye asal me toh Ahadis ke hi munkar hain. Kehte hain Ahadees ki kitabein, Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki wafat ke 200 saal ba'd likhi gayi hain, isliye in par aitmad Nahi. [Surah Ahzab:21] me Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki zindagi ko Qayamat tak tamam Insano ke liye Behtareen Namuna qarar diya hai. 

Ab bechare Ek toh hain Ghair Muqallid oopar se Ahadees ke Munkar to Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki Mubarak Zindagi kaise ma'loom karengey.? Becharon ka Amal Qur’an per bhi nahi ho raha hai.

Waise Meri mulaqaat 2 Ghair Muqallid firqon se hui hai Ek toh Ahl-e-Hadis aur Doosre Jama'tul Muslimeen.

Naam Nihaad Ahl-e-Qur’an se to Kabhi aamna-saamna nahi hua hai. To Mai In do firqe’ (Naam Nihaad Ahl-e- Hadees wa Jama’tul Muslimeen) ke dhoke Aap ke saamne rakhne ki koshish karta hu.

2. Jama'tul Muslimeen: Ye log Hadees pesh karte hain [Bukhari wa Muslim] ke hawale se Huzaifa (raz.) se marvi, Hadees ka maf’hoom hai: “Jamatul Muslimeen aur iske Imam ko lazim pakad lo aur Tamam firqe (Ahle Hadis, Ahle Quran, Shia, Qadyani, Hanafi, Shafi'i, Maliki etc.) se alag ho jao.”
Aur ek Hadees Haakim ke hawale se bhi pesh karte hain Mafhoom hadis hai ke: “...Jisne apne aap ko Jamatul Muslimeen se alag kar liya goya usne apne Galey se Islam ka patta utaar diya.” Ya’ni Is firqe’ se Jo bhi ab tak Nahi Judey hue hain (Ahl-e-Hadees, Hanafi, Shaafa’I, Hanbali waghera) goya Wo Sab ke Sab MUSHRIK hain. (Na’oozu billah)

Firqae Ahl-e-Hadees ki tarah Ye bhi apne ilawa kisi ko Musalman nahi jaantey. Abhi decide nahi kiya hai ke Mazaaheb-e-SALAF ke maanne walon ko BID’ATI kahein ya MUSHRIK. Inme ba’z kehte hain TAQLEED Shirk hai aur ba’z BID’AT.

Algharz, Jab ke asal me Hadees ka maf'hoom hai: “Agar Musalmano ki koi Jama't aur inka Imam ho to Usko lazim pakad lo aur Musalmano ki koi jama't na ho to tamam firqon se alag ho kar Jungle me chale jao yahan tak ke wahin par maut aa jaye.” Ye log Tamam Hadees ke lafz ka Urdu me Tarjumah karte hain sivaye lafz “Jama’tul Muslimeen” ke.. Jabke Jamatul Muslimeen se murad Musalmano ki kisi bhi muttahid Jama't ko lazim pakadne ka hai.

Hafiz Ibne Hajar (rah.) [Fatahul Baari] me likhte hain: “Imam se murad Khalifa ya Ameerul Mu'mineen hai. Isi tarah hadees me Firqon se muraad wo tamam firqe hain jo Ahle Sunnat se hatey hue hain.”

Mullah Ali Qari Hanafi (rah.) Likhte hain ke: “Tamam firqo se alag ho jao ya’ni Un Gumrah firqon se Jo Ahle Sunnat wal Jama't ke tareeqe ke khilaf hain.” (Mirqat 10/10)

Aur Qur’an wa Hadees ke maahir Ulema’ ka Qur'an wa Hadees ki roshni me is par ittefaq hai ke Hanafi, Shafia'i, Maliki, Hanbali Haqeeqi Ahle Sunnat hain. Harmeen Shareefain me bhi in 4 Mazaheb ke ilawa kisi aur firqe’ ka Musallah nahi hua. Ahl-e-Hadees Naam ka koi Musallah maujood hi na tha kyonke Is firqe’ ka Wujood to ANGREZON ke daur me aaya.

Aur jab Saudi Arabia me NAJADI Hukumat Qayem hui toh, Un logon ne 3 Musallon ko wahan se nikaal diya. Per ab bhi wahan Ahle Sunnat, Hanablah ka Musallah baqi hai.

3. Ahl-e-Hadis: Ab La Mazhab, Ahl-e-Hadees bhi Jama'tul Muslimeen se peeche nahi hain. Inko Jahan kahin bhi Ahl-e- Hadees lafz mil jaye Chaahe Qur’an wa Ahaadees se ho ya phir Ulema’-e-Deen ke Aqwaal se ho Usey SEENE se laga lete hain aur har tarah se Logon ko dhoka dete hue is Lafz ‘Ahl-e-Hadees’ ko Apne se Jod lete hain Jabke Unhein Ye Khoob pata hai ke ya to Unhone Ya unke Waalid ne ya Daada ne Tark-e-Taqleed karke firqa Ahle-Hadees se apna rishta qayem kiya hai. Is tarah Rishta jodne se kya koi Haqeeqi Ahl-e-Hadis ho jayega.? Agar koi Khud ko Musalman kahta hai aur Shirk karta hai to, Kya Wo Musalman baaqi rahega.? Hargiz nahi. Naam se Kuch nahi hota hai balke Sab kuch Amal se hota hai.

Ye log ARABIYON ko Dhoka dene ke liye Khud ko SALAFI kehlaate hain kyonke ARABIYON ke paas Ahl-e- Hadees ka lafz iste’maal karega to Pakra jo Jaayega kyonke Wo to Ahl-e- hadees Lafz ke Saheeh Matlab wa Ma’ne se achhi tarah waaqif hote hain. SALAF ke Mazaheb ke Munkareen hain aur in MAZAAHEB ko 72 Jahannami Firqon me shumaar karne waale JAAHIL Khud ko SALAFI kehalwaate dekh Ta’jjub hota hai.

Inko Na to SHIYON se Koi Baer hai na QADYANIO se. Bas Hanafiyon ko hi Gumraah sabit karna inka MEHBOOB Mashghala’ ban gaya hai. Isiliye to Inke Mullaon ki likhi 98% Kitabein AHNAAF ke khilaaf hain. Kuch Naam Nihaad, Ahl-e-Hadees kehte hain ke Imam Abu Haneefah (rah.) bhi Ghair Muqallid the aur Hum bhi Ghair Muqallid hain, Kuch kehte hain ke Imam Bukhari wa Muslim (rah.) etc. Ahl-e-Hadis the aur Hum bhi Ahl-e- Hadis hain.

Aur kuch kehte hain ke Sahaba raz., Taba'een waghera Salaf the, Hum bhi Salafi hain.

Aur Kuch kehte hain ke Hum to sirf Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki ittiba' karte hain, isliye Hum Muhammadi hain.

Is firqe ne toh itne Naam chun kar apne oopar chuspa kar liye hain ke koi kam Aql, Jaahil, ye Naam sun kar Tark-e- Taqlid karne tayyaar ho jayega.

Aur kuch Ghair Muqallideen Ahadees se ye sabit karne ki Koshish karte hain ke fala' fala' Sahabi Ahl-e-Hadees the.

Aur kuch Ghair Muqallid, Qur'an se sabit karne ki koshish kartey hain. kehte hain ke hamari Jama't ka naam fala' jagah Hadees me aaya hai fala' jagah Qur'an me aaya hai fala' Muhaddis wa Aalim ne zikr kiya hai aur humey Firqa- e-Najiyah me shumaar kiya hai.

Ye mahaz ek dhoka hai. Jab ke Ye sab Haqeeqi Ahl-e-Hadeeson ke liye hai Na ke Nafs-Paraston ke liye. Kabhi Aimma-e-Araba’ ke Mazaheb ki Taqleed karne waalo ne aisa Lafzon ka Khel Nahi khela hai..

4. Ye Sab kuch bilkul aisa hi hai Jaisa ke Mirza Ghulam AHMED QADYANI Mal’oon ka apna Naam AHMED Qur'an se kam Aql logon ko dikha kar Nabuwwat ka da'wa karna..

Sun lo! Ahl-e-Hadees, Jama'tul Muslimeen, Ahl-e-Qur'an aur Ahmedi, Naam Qur'an wa Ahadees me dikhaane se kya ye tamam firqe Haqq par ho jayengey.?

Ye to 4 firqe’ hain phir Firqa’-e-Naajiyah to Ek hi hai.?

Aye Ghair Muqallido! Apne firqe ka naam Qur'an wa Ahadis se dikhane se Tum Ahle Sunnat Wal Jama't me shumar nahi ho jaogey na Tum Firqa-e-Najiyah me shumaar ho jaogey.. Balke Tumhara Aqidah wa Amal durust hona chahiye.

Allah ta'la Jama't ke naam dekh kar humey Jannat ya jahannum me Nahi daaqil karega balke hamare A'maal dekh kar..

(Wallaahu Aa’lam bis Sawaab)

***** AHLE JANNAT *****


Apni Jamaat ka Naam SALAFI rakh lene se koi Salaf-Sualiheen ka maan'ne wala nahi ho jata.

Apni Jamaat ka naam AHLE QURAN rakh lene se koi Quran ka Aalim nahi ho jata.

Apni Jamaat ka naam AHLE HADEES rakh lene se koi Muhaddis nahi ho jata.

Agar Aysa hota to Log Apni Jamaat ka naam AHLE JANNAT rakh lete... Taa'ke muft me Jannat ke Waris ban jate.

GHAIR-MUQALLID USTAAD AUR SHAAGIRD KI KAHAANI


• Taqleed ka Nuqsaan ya Germuqallid Lamazhaboon ki Pareshaani{LOLZ}

•Aik Lamazhab Molvi aur uska aik shagird dono ka sath aik jagah Interview tha Dono 1 sath Interview denay gaye Rastay may Molvi sahab nay apnay shagird say kaha Jo sawal mujh say hongay wo tum say bhi kiye jaye gay Isliye may jo jawab dunga woh tum bhi Achchi tarha se Rat lena aur Phir tum bhi Apnay sawaloon ka wohi jawab dena jo may dunga Shagird nay Raza Mandi Zahir ki k theek hay ¤

• woh 2onoon jub waha pohnchay to subsay pehlay GM Molvi ki baari aayi = is say Sawalaat shuru huwe ¤

•{01}Pakistan kub wajood may aaya ?

• Wesay to 1930 say koshis jaari thi lekin 1947 may aakar wajood may aaya ¤

•{02}Hindustan kay wazeer e Aazam {Prime Minister}kon hay ?

• Wesay to badaltay rehtay hay Lekin Fil'haal Manmohan Singh hay ¤

•{03}Mars per Aabaadi hay ya nahi ?

• Saayinsdaan{Scientist}research to karay lekin sabit nahi karsaktay ¤

• Interview lenay walay nay ab janay ki ijaazat di.

• Ab Shagird ki baari.

• [01] Tum kab paida huwe ?

• Wesay to hum Naam nihaad {Ahlehadees}Malikah Victoria ki marhoon e minnat 1888 may paida huwe is liye hum apni pedayish Shuro islam say sabit nahi karsaktay

•{inbatoon say pardah na hatao to behtar rahay ga}¤

• [02] Tumhara naam kiya hay ?

• Wesay to Angrez kay dour say badaltay rahay jesay

• Muaahid

• Muhammadi

• Wahabi

• Germuqallid ye laqub{Jo hamay 476 Arab o Ajam kay ulama nay diya# unka shukuriya}or ab sirf name kay

• Ahlehadees{AFSOOS hum apna khud AHLEHADEES hona sabit nahi kar saktay #ma'azrat}

• [03] Interview lenay walay nay {Gussay may pucha}kiya tum pagal ho ?

• Nahi janab may pagal nahi nahi bus ye hamaray naam nihaad ulama'a ki Na'Aehli ka mou'nh bolta saboot hay kay jub say hamara ye firqa'h bana hay

Namaz to sabit na karsaka aur na karsakta aur na INSHALLAH karsakay gay . . . . .wo isliye kay hamaray kisi bhi TIL may Tail nahi

yahi waja hay kay ab Awaam Germuqallid bhi khud pareshan o muztarib hay k kub hamaray ye batooni molvi NAMAZ sabit karay gay

jo hum pardhtay hay

ha lekin yaad rahay k 1 hamaray GM molvi guzray hay Jin ka name hay Sadiq Sialkoti jinho nay 1945 may 1 kitab likhi

•"Salaat ur Rasool"yani kay RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAHI WASALLAM ki Namaz per is kitab may saal ha saal say is Takhreeeeeej hoti rahi Allah behtar janay kiya wajah thi k her edition may Tabdeliyaan hoti rahi or ab kahi jaker

• Tarteeb# Doctor Shafiq ur rehman or

• Tehqeeq or Takhreej# Abu Tahir Hafiz Zubair ali zai nay ki hay ¤ or sitam zareefi is kitab per ye hay kay
1 Mukhlis Deobandi Aalim nay hamari aasani kay liye is

•"Salat ur Rasool"name ki kitab may say Zaeef Ahadees ikhatti ki hay{unka shukirya us kitab ka name

•{"GERMUQALLID BNAAM GERMUQALLID"}hay jin Deobandi Aalim nay is kitab may ye Zaeef Ahadees yakja ki hay wo unho nay hamaray hi 1 GM Molvi ki Insaaf pasandi ko daad yani Kharaaj e Tehseen detay huwe kitabi shikal di un GM Molvi ka name

•"Abdul Rauf Gaznavi"hay

• yahi wajah hay k hamay her jagah khifat Authani pardhti hay ¤

• Hay koi Gm jo Mukammal Namaz ki tarteeb o tafseel Quran or Hadees kay Sareeh Sareeh
Ger Mua'ariz Tarjumay say dikhaaye ?

• Tanqeed sirf Geroon pe karna bja nahi

• Ye Aayina bhi aap zara dekhtay chalay

Maujooda Zamaane Me Ahle Hadeeth Say Woh Ghair Muqallideen Muraad Hote Hayn Jo Shariat Ke Usool Me Say Sirf Pahli 2 Qismo Ko Hujjat Maante Hayn
1 Kitabullah
2 Hadeeth
Yeh Log Ijma'e Sahaaba Ko Hujjat Nhi Maante
Haan Albattah Jahan Inka Apna Matlab Aa Parta Hay To Maan Bhi Lete Hayn Jaisa Ke Namaaz Me Safo Me Khde Hone Ke Baare Me Qadam Say Qadam Milaane Ki Baat Huzoor S.A.W Ke Qaul Me Nhi
Hay Balke Sahaaba Ka Amal Hay
Is Par Bazid Rahte Hayn
Or Jahan Apna Matlab Nhi Parta Wahaan Nhi Maante Jaisa Ke 20 Rak'at Taraveeh Ka Mas'ala Hay
Goya Ke Inka Nafs Hi Inka Imam Inki Shariat Hay Isliye Is Jama'at Ko Bhi Agar Gumraah Or Faasiq Kaha Jaye To Shaayad Ghalat Na Hoga.

Ahle-Khabees GROUPS IN THE WORLD


There are over 150 Ahle-Khabees Groups in the world. Each Ahle- Khabees Group has many sub Ahle- Khabees groups. Every Ahle-Khabees Group claim that it is on the right path and accuse other Ahle-Khabees Groups as Kafirs. Prominent among them are as follows. Information on these groups is available on internet and other resources.

(1) Madkhali, or Super Salafis,

(2) Conventional or Najdi or Saudi Salafis,

(3) Jihadi Takfiri Salafis,

(4) Qutubi Salafis,

(5) Sururi Salafis,

(6) Al-Bani Salafis,

(7) Academic Salafis,

(8) GSPC Algerian Salafis,

(9) Modernist or Neo Salafis

(10) Murji Salafis,

(11) Talafi Salafis,

(12) Maribi Salafis,

(13) Hizbi Salafis,

(14) Khariji Salafis,

(15) Takfiri Salafis,

(16) Nasibi Salafis,

SOUTH ASIA MAIN GAIR-MUQALLIDEE N (Ahle-Khabees) K 22 FIRKAY HAIN**************


1.JAMIAT AHLE-HADITH(1949)

2.SANAYA AHLE-HADITH(1939)

3.GAZNAVI AHLE-HADITH(1932)

4.CONFERENCE AHLE-HADITH(1907)

5. AMEER E SHIRIAT BIHAR(1918)

6.ATAYA AHLE-HADITH(1929)

7.SHAREEFIYA AHLE-HADITH(1908)

8.INTEKHAB MOLVI MOHIDEEN(1957)

9.JAMAT U DAWA AHLE-HADITH

10. GURBA E AHLE-HADITH

11.ULAMA E AHLE-HADITH

12. YOUTH FORCE AHLE-HADITH

13. SALAFI AHLE-HADITH

14. ROPDI AHLE-HADITH

15. AMRATSARI AHLE-HADITH

16. BANARSI AHLE-HADITH

17. TAWHEEDI AHLE-HADITH

18. MUHAMMADI AHLE-HADITH

19. GONDHLAVI AHLE-HADITH

20. NAZEERIYA AHLE-HADITH

21.JAMAAT E MUSLAMEEN.

22. SHABBAN AHLE-HADITH